ji chahta hai
unheñ bhī bulāne ko jī chāhtā hai
nahar meñ nahāne ko jī chāhtā hai
na puurī na halva na laDDū na barfī
mirā khiir khāne ko jī chāhtā hai
jahāñ duudh kī dekhtā huuñ kaḌāhī
vahīñ baiTh jaane ko jī chāhtā hai
vo jin meñ hai kuchh khāne piine kā qissa
vo bāteñ banāne ko jī chāhtā hai
maiñ buzdil huuñ maujoñ se ghabrā rahā huuñ
kināre pe aane ko jī chāhtā hai
jo ustād kahtā hai paḌhne ko ham se
bahāna banāne ko jī chāhtā hai
jahāñ ho na paanī na tālāb koī
vahīñ Duub jaane ko jī chāhtā hai
falak se ye rangīn tāroñ kī geñdeñ
mirā toḌ laane ko jī chāhtā hai
ġhazal koī 'sibtain' suntā nahīñ hai
aur apnā sunāne ko jī chāhtā hai
unhen bhi bulane ko ji chahta hai
nahar mein nahane ko ji chahta hai
na puri na halwa na laDDu na barfi
mera khir khane ko ji chahta hai
jahan dudh ki dekhta hun kaDahi
wahin baiTh jaane ko ji chahta hai
wo jin mein hai kuchh khane pine ka qissa
wo baaten banane ko ji chahta hai
main buzdil hun maujon se ghabra raha hun
kinare pe aane ko ji chahta hai
jo ustad kahta hai paDhne ko hum se
bahana banane ko ji chahta hai
jahan ho na pani na talab koi
wahin Dub jaane ko ji chahta hai
falak se ye rangin taron ki genden
mera toD lane ko ji chahta hai
ghazal koi 'sibtain' sunta nahin hai
aur apna sunane ko ji chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.