ji Darta hai
jī Dartā hai be-ġharaz mohabbat karne vaale
achchhī nasl ke dostoñ se
unheñ dariyā beach javāb milā
ye kashtī chhe shahtīroñ aur das kīloñ se
yahīñ dariyā biich banā.ī thī
so us meñ aag lagī
jī Dartā hai
tumheñ lauT ke aanā achchhā lagā
mujhe chhat kī beleñ harī mileñ
unheñ dhuup na denā jāḌoñ meñ
ye bistar mere ghar ke nahīñ
tumheñ fikr huī mujhe ḳhauf aayā
sab jānñā achchhā hotā hai magar aksar farq nahīñ paḌtā sab jānñe se
jab kashtī Dūbne lagtī hai
maiñ jāntā huuñ
mujhe tairnā aanā chāhiye thā
be-ġharaz mohabbat karne vaale achchhī nasl ke dostoñ kī hamrāhī meñ
mujhe un se alag
kuchh apne liye bhī sochnā chāhiye thā
maiñ jāntā huuñ
ye aag izāfī koshish thī
jab kashtī Dūbne lagtī hai tab kashtī Dūbne lagtī hai
ab lauT aa.e to fikr karo
ye kashtī Duub bhī saktī thī
ye bistar bhiig bhī sakte the
ye dariyā lauT bhī saktā thā
be-ġharaz mohabbat karne vaale achchhī nasl ke dostoñ kī hamrāhī meñ
har kaam ulaT ho saktā thā
ji Darta hai be-gharaz mohabbat karne wale
achchhi nasl ke doston se
unhen dariya beach jawab mila
ye kashti chhe shahtiron aur das kilon se
yahin dariya bich banai thi
so us mein aag lagi
ji Darta hai
tumhein lauT ke aana achchha laga
mujhe chhat ki belen hari milen
unhen dhup na dena jaDon mein
ye bistar mere ghar ke nahin
tumhein fikr hui mujhe KHauf aaya
sab jaanna achchha hota hai magar aksar farq nahin paDta sab jaanne se
jab kashti Dubne lagti hai
main jaanta hun
mujhe tairna aana chahiye tha
be-gharaz mohabbat karne wale achchhi nasl ke doston ki hamrahi mein
mujhe un se alag
kuchh apne liye bhi sochna chahiye tha
main jaanta hun
ye aag izafi koshish thi
jab kashti Dubne lagti hai tab kashti Dubne lagti hai
ab lauT aae to fikr karo
ye kashti Dub bhi sakti thi
ye bistar bhig bhi sakte the
ye dariya lauT bhi sakta tha
be-gharaz mohabbat karne wale achchhi nasl ke doston ki hamrahi mein
har kaam ulaT ho sakta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.