ji han piTe hain
guḌiyā kī aañkh phoḌī
guDDe kī Taañg toḌī
vo ham pe hañs rahī thī
gardan zarā maroḌī
munnī ne kī shikāyat
yuuñ ham ne maar khaa.ī
ammī ne kī piTā.ī
schōl se to bhāge
Daale gale meñ basta
raajū ke saath dekhā
bandar kā bas tamāshā
ghar par ye baat pahuñchī
ham ne na kī paḌhā.ī
ammī ne kī piTā.ī
halve kī baat chhoḌo
kyā seb kā murabba
ras-gulle aur barfī
makkhan kā saarā Dabbā
jo chiiz bhī ki dekhī
ham ne churā ke khaa.ī
ammī ne kī piTā.ī
sab sāmne the baiThe
Dheñchūñ kā raag gaayā
paapā ke dostoñ ko
phir ham ne muñh chiḌhāyā
itnī sī dil lagī par
shāmat hamārī aa.ī
ammī ne kī piTā.ī
bhayyā to so rahe the
pañkhe ko off kar ke
ham ho ga.e ravāna
jeboñ ko saaf kar ke
chhoTī sī ye sharārat
ham ko na raas aa.ī
ammī ne kī piTā.ī
guDiya ki aankh phoDi
guDDe ki Tang toDi
wo hum pe hans rahi thi
gardan zara maroDi
munni ne ki shikayat
yun hum ne mar khai
ammi ne ki piTai
school se to bhage
Dale gale mein basta
raju ke sath dekha
bandar ka bas tamasha
ghar par ye baat pahunchi
hum ne na ki paDhai
ammi ne ki piTai
halwe ki baat chhoDo
kya seb ka murabba
ras-gulle aur barfi
makkhan ka sara Dabba
jo chiz bhi ki dekhi
hum ne chura ke khai
ammi ne ki piTai
sab samne the baiThe
Dhenchun ka rag gaya
papa ke doston ko
phir hum ne munh chiDhaya
itni si dil lagi par
shamat hamari aai
ammi ne ki piTai
bhayya to so rahe the
pankhe ko off kar ke
hum ho gae rawana
jebon ko saf kar ke
chhoTi si ye shararat
hum ko na ras aai
ammi ne ki piTai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.