jina to isi ko kahte hain
shaam suhānī surma.ī bādal
vaadī meñ utar kar sargoshī karte haiñ
tez havā.eñ phūloñ pattoñ kā muñh shoḳhī se chuum rahī haiñ
dhartī kā zarra zarra damak rahā hai
kis ko aanā hai kaun aa.egā
tum ne apnī sāñsoñ ke dhāge jis se bāñdh rakhe haiñ
vo to nahīñ aa.egā
vo ḳhud-sar hai us kī anā us ke qadmoñ kī zanjīr banī hai
kitne aañsū aur bahāogī
tum kuchh bhī kar lo sab lā-hāsil
kyūñki tum maañ ho
apne beTe kī ḳhushiyoñ kī ḳhātir ḳhud ko ḳhush karne kī ḳhātir
apnī anā ke parcham ko us ke qadmoñ meñ lā Daalo
apnī mamtā kī ThanDak ke liye
apne beTe kī jānib se apne aap se kah do
maañ tum kah do to qadmoñ meñ tumhāre gir jā.ūñ
haañ paglī aise bhī jiite haiñ
jiinā to isī ko kahte haiñ
sham suhani surmai baadal
wadi mein utar kar sargoshi karte hain
tez hawaen phulon patton ka munh shoKHi se chum rahi hain
dharti ka zarra zarra damak raha hai
kis ko aana hai kaun aaega
tum ne apni sanson ke dhage jis se bandh rakhe hain
wo to nahin aaega
wo KHud-sar hai us ki ana us ke qadmon ki zanjir bani hai
kitne aansu aur bahaogi
tum kuchh bhi kar lo sab la-hasil
kyunki tum man ho
apne beTe ki KHushiyon ki KHatir KHud ko KHush karne ki KHatir
apni ana ke parcham ko us ke qadmon mein la Dalo
apni mamta ki ThanDak ke liye
apne beTe ki jaanib se apne aap se kah do
man tum kah do to qadmon mein tumhaare gir jaun
han pagli aise bhi jite hain
jina to isi ko kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.