jine marne ke darmiyan ek saat
kabhī jiine kabhī marne kī ḳhvāhish rok letī hai
vagarna maiñ havā kī lahr meñ tahlīl ho jā.ūñ
kidhar jā.ūñ ki har-sū sā.ateñ raste kā patthar haiñ
agar baiThā rahūñ to raakh meñ tabdīl ho jā.ūñ
vo jādūgar thā jis ne raat par pahre biThā.e the
vagarna ab talak ye chāñd taare miT chuke hote
junūn-e-āgahī mānūs āñkhoñ se chhalak jaatā
bisāt-e-zindagī ke saare mohre piT chuke hote
mujhe ma.alūm hai ik chāñd din ko bhī nikaltā hai
mujhe ma.alūm hai rāteñ bhī ik ḳhurshīd rakhtī haiñ
agar ye donoñ aalam ek ho jaa.eñ to phir kyā ho
havā.eñ raat din yaktā.ī kī ummīd rakhtī haiñ
magar in vus.atoñ ko kaun bāñhoñ meñ sameTegā
kahāñ se aa.egī vo raushnī jo muntahī hogī
diloñ kī tīrgī kuchh aur gahrī hotī jaatī hai
aziyyat raushnī kī din kī rag rag ne sahī hogī
kidhar jā.ūñ ki har sū rāste kirnoñ kī sūrat haiñ
magar kirnoñ pe chalnā be-qarārī ko nahīñ aatā
vo nuqta jis pe maiñ huuñ marqad-e-shām-e-ġharībāñ hai
magar is samt koī āh-o-zārī ko nahīñ aatā
kabhi jine kabhi marne ki KHwahish rok leti hai
wagarna main hawa ki lahr mein tahlil ho jaun
kidhar jaun ki har-su saaten raste ka patthar hain
agar baiTha rahun to rakh mein tabdil ho jaun
wo jadugar tha jis ne raat par pahre biThae the
wagarna ab talak ye chand tare miT chuke hote
junun-e-agahi manus aankhon se chhalak jata
bisat-e-zindagi ke sare mohre piT chuke hote
mujhe malum hai ek chand din ko bhi nikalta hai
mujhe malum hai raaten bhi ek KHurshid rakhti hain
agar ye donon aalam ek ho jaen to phir kya ho
hawaen raat din yaktai ki ummid rakhti hain
magar in wusaton ko kaun banhon mein sameTega
kahan se aaegi wo raushni jo muntahi hogi
dilon ki tirgi kuchh aur gahri hoti jati hai
aziyyat raushni ki din ki rag rag ne sahi hogi
kidhar jaun ki har su raste kirnon ki surat hain
magar kirnon pe chalna be-qarari ko nahin aata
wo nuqta jis pe main hun marqad-e-sham-e-ghariban hai
magar is samt koi aah-o-zari ko nahin aata
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 1020)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.