jit gaya jit gaya
aao
ab DhūñDo mujhe
phisaDDī keh ke mujh ko chheḌne vaalo
harāo ab mujhe
haañ mujhe bhī khel lagtā thā ye sab kuchh ibtidā meñ
magar ye bhī to socho
musalsal haar koī khel hai jo khel is ko maan letā maiñ
kahāñ tak hārtā maiñ?
mire chhupne ke sab kone ujāgar ho ga.e the
bahut āsān hotā jā rahā thā DhūñDnā mujh ko
mujhe ab jītnā thā
kisī qīmat pe mujh ko jītnā thā
so maiñ ne ye kiyā
vo aahaT jo mirī dushman rahī thī aaj tak
maiñ ne usī ko maar Daalā
aur jā kar chhup gayā ḳhud qabr ke taḳhtoñ ke pīchhe
manoñ miTTī ke nīche
aao
ab DhunDo mujhe
phisaDDi keh ke mujh ko chheDne walo
harao ab mujhe
han mujhe bhi khel lagta tha ye sab kuchh ibtida mein
magar ye bhi to socho
musalsal haar koi khel hai jo khel is ko man leta main
kahan tak haarta main?
mere chhupne ke sab kone ujagar ho gae the
bahut aasan hota ja raha tha DhunDna mujh ko
mujhe ab jitna tha
kisi qimat pe mujh ko jitna tha
so main ne ye kiya
wo aahaT jo meri dushman rahi thi aaj tak
main ne usi ko mar Dala
aur ja kar chhup gaya KHud qabr ke taKHton ke pichhe
manon miTTi ke niche
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 152)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.