jit kis ki hogi
kisī kone se nikaltā hai
ek ḳhauf
aur raqs karne lagtā hai
mere sāmne
jaise koī māhir raqqās
batā rahā ho bhaav taao
yā koī gahrā raaz
zindagī aur maut kā
phir parda girtā hai
jaane kab
ḳhauf mere siine par chaḌh aatā hai
maiñ chillāne lagtī huuñ
jāgte aur sote meñ
laḌtī hī rahtī huuñ
is jañg meñ jiit kis kī hogī
kisi kone se nikalta hai
ek KHauf
aur raqs karne lagta hai
mere samne
jaise koi mahir raqqas
bata raha ho bhaw tao
ya koi gahra raaz
zindagi aur maut ka
phir parda girta hai
jaane kab
KHauf mere sine par chaDh aata hai
main chillane lagti hun
jagte aur sote mein
laDti hi rahti hun
is jang mein jit kis ki hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.