jiwe jiwe pakistan
jiive jiive pākistān
mahkī mahkī raushan raushan pyārī pyārī nyārī
rang-birange phūloñ se ik sajī huī phulvārī
pākistān
jiive jiive pākistān
man-panchhī jab pañkh hilā.e kyā kyā sar bikhrā.e
sunñe vaale suneñ to un meñ ek hī dhun tharrā.e
pākistān
jiive jiive pākistān
bikhre huoñ ko bichhḌe huoñ ko ik markaz pe laayā
kitne sitāroñ ke jhurmuT meñ sūraj ban kar aayā
pākistān
jiive jiive pākistān
jhel ga.e dukh jhelne vaale ab hai kaam hamārā
ek rakheñge ek rahegā ek hai naam hamārā
pākistān
jiive jiive pākistān
jiwe jiwe pakistan
mahki mahki raushan raushan pyari pyari nyari
rang-birange phulon se ek saji hui phulwari
pakistan
jiwe jiwe pakistan
man-panchhi jab pankh hilae kya kya sar bikhrae
sunne wale sunen to un mein ek hi dhun tharrae
pakistan
jiwe jiwe pakistan
bikhre huon ko bichhDe huon ko ek markaz pe laya
kitne sitaron ke jhurmuT mein suraj ban kar aaya
pakistan
jiwe jiwe pakistan
jhel gae dukh jhelne wale ab hai kaam hamara
ek rakhenge ek rahega ek hai nam hamara
pakistan
jiwe jiwe pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.