jila
zainab maiñ terī bāñdī
tū aisī bā-hausla
is shaan se jaltī zamīn par chalī
ki sach ko zarūrat na rahī kisī hiil hujjat kī
tere liye āsmānoñ se koī mo.ajiza nahīñ utrā
ujḌā huā ghar be-bizā.atī zmīn-o-āsmān kī saḳhtiyāñ
aur terī istaqāmat
ki is qadar ḳhūñ-rezī ke ba.ad bhī yazīdī fat.h kā ḳhat na le sake
kisī ek fard-e-vāhid se nahīñ
to ek puure ġhalat nizām ke muqābil thī
ye vo maqām thā ki tārīḳh-dānoñ o mohaqqiqīn ne haar jiit ke nazriyāt ko alag andāz se dekhā
terī māmtā ko salām zainab apne jigar goshoñ kā ġham uThā kar ḳhud ko TūTne nahīñ diyā
aivānoñ meñ sar joḌe baiThe ahl-e-siyāsat
kisī natīje par nahīñ pahuñch paate
ki bachchoñ ko zab.h karne vaale
insān haiñ musalmān haiñ
zainab
ma.asūm alī asġhar ko zab.h karne vāloñ ko
tū ne ḳhudā kā ye farmān bāvar karāyā thā
allāh zālimoñ ko dost nahīñ rakhtā
karbalā ek rāh-e-hidāyat
raushnī zarā sī darz kisī jhurrī se dāḳhil ho kar
phaile hue añdhere par ġhālib aa jaatī hai
aur tārīkī ko savere meñ badal dene vaale rab ko ma.alūm hai
ki ishq ko baaqī rakhne ke liye lahū se ābiyārī kī ga.ī
lahū bahtā hai
to zamīñ zar-ḳhez hotī hai
vo taa.ef ho kuufa ho yā merī bad-nasīb zamīn
andhā hujūm hāthoñ meñ patthar liye
jilā ko bujhā detā chāhtā hai
jilā jo duā-go hai
ma.abūd unheñ baḳhsh de ye nahīñ jānte ye kyā kar rahe haiñ
jilā bātil ke hāthoñ meñ bai.at nahīñ kartī
jilā masīhā hai
mujhe maslūb karne vaalo shaqī-ul-qalb hukmarāno
bhalā phūTtī kirnoñ ko bhī koī salīb de sakā
jilā zainab hai
jo jale hue añdheroñ ke ba.ad
hone vaalī ujḌī sub.h se
us kaThin masāfat ko tai kartī hai
ki bahut sī ghuTan aur hazār sa.ūbatoñ ke ba.ad
ek vo maqām aatā hai
jo taḳht ko nishān-e-ibrat banā de
zainab main teri bandi
tu aisi ba-hausla
is shan se jalti zamin par chali
ki sach ko zarurat na rahi kisi hil hujjat ki
tere liye aasmanon se koi moajiza nahin utra
ujDa hua ghar be-bizaati zmin-o-asman ki saKHtiyan
aur teri istaqamat
ki is qadar KHun-rezi ke baad bhi yazidi fath ka KHat na le sake
kisi ek fard-e-wahid se nahin
to ek pure ghalat nizam ke muqabil thi
ye wo maqam tha ki tariKH-danon o mohaqqiqin ne haar jit ke nazriyat ko alag andaz se dekha
teri mamta ko salam zainab apne jigar goshon ka gham uTha kar KHud ko TuTne nahin diya
aiwanon mein sar joDe baiThe ahl-e-siyasat
kisi natije par nahin pahunch pate
ki bachchon ko zabh karne wale
insan hain musalman hain
zainab
masum ali asghar ko zabh karne walon ko
tu ne KHuda ka ye farman bawar karaya tha
allah zalimon ko dost nahin rakhta
karbala ek rah-e-hidayat
raushni zara si darz kisi jhurri se daKHil ho kar
phaile hue andhere par ghaalib aa jati hai
aur tariki ko sawere mein badal dene wale rab ko malum hai
ki ishq ko baqi rakhne ke liye lahu se aabiyari ki gai
lahu bahta hai
to zamin zar-KHez hoti hai
wo taef ho kufa ho ya meri bad-nasib zamin
andha hujum hathon mein patthar liye
jila ko bujha deta chahta hai
jila jo dua-go hai
mabud unhen baKHsh de ye nahin jaante ye kya kar rahe hain
jila baatil ke hathon mein baiat nahin karti
jila masiha hai
mujhe maslub karne walo shaqi-ul-qalb hukmarano
bhala phuTti kirnon ko bhi koi salib de saka
jila zainab hai
jo jale hue andheron ke baad
hone wali ujDi subh se
us kaThin masafat ko tai karti hai
ki bahut si ghuTan aur hazar saubaton ke baad
ek wo maqam aata hai
jo taKHt ko nishan-e-ibrat bana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.