jila-watan hone se pahle
is ḳhabar ke aane ke ba.ad
maiñ apne ghar kī khiḌkiyāñ
band kartī huuñ
bijlī ke taar switch-off kar detī huuñ
frēze meñ rakhā khānā
paḌos meñ de detī huuñ
bachā huā duudh galī kī billī ke aage
Daal detī huuñ
aur ek gilass ThanDā paanī piitī huuñ
tamām darvāze lock kar ke
saḌak par nikal jaatī huuñ
dopahar se pahle
yā raat ke kisī pahar
sarkārī gaaḌī meñ
sarkārī murda-ḳhāne meñ
mujhe baaqī jilā-vatanoñ ke saath
pheñk diyā jā.egā
aur ek ḳhabar chhapegī
mulzima fulāñ-bint-e-fulāñ ke ghar
purāne sandūq meñ
purāne kapḌoñ kī tahoñ meñ
bahut sī nazmeñ
qābil-e-e'tirāz hālat meñ paa.ī ga.iiñ
is KHabar ke aane ke baad
main apne ghar ki khiDkiyan
band karti hun
bijli ke tar switch-off kar deti hun
freeze mein rakha khana
paDos mein de deti hun
bacha hua dudh gali ki billi ke aage
Dal deti hun
aur ek gilass ThanDa pani piti hun
tamam darwaze lock kar ke
saDak par nikal jati hun
dopahar se pahle
ya raat ke kisi pahar
sarkari gaDi mein
sarkari murda-KHane mein
mujhe baqi jila-watanon ke sath
phenk diya jaega
aur ek KHabar chhapegi
mulzima fulan-bint-e-fulan ke ghar
purane sanduq mein
purane kapDon ki tahon mein
bahut si nazmen
qabil-e-e'tiraaz haalat mein pai gain
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 100)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.