jila-watan shahzad-gan ka jashn
qabr kī miTTī churā kar bhāgne vāloñ meñ ham afzal nahīñ
ham koī qātil nahīñ
bismil nahīñ
munjamid ḳhūnīñ chaTānoñ par do-zānū baiTh kar
ghūmtī suuī ke raste kī salīboñ se Tapakte
qatra qatra surḳh-rū sayyāl ko
uñgliyoñ par gin rahe haiñ
chun rahe haiñ
manzar-e-nēlofarī kī jhiil meñ
girtā huā ik āsmān-e-nūr kā zaḳhḳhār shor
ham ki apnī tishnagī ke sab zarūf
apnī apnī past-qad dahlīz par toḌ aa.e the
nāriyal ke āsmāñ andoḳhta sāyoñ tale
laḌkhaḌā kar
ātishīñ sāhil kī jaltī ret par auñdhe paḌe haiñ
ātishīñ sayyāl jab jab
jism kī sarhad pe ġhash khaa.e sipāhī kī ragoñ ko chheḌtā hai
hosh aatā hai
to chāroñ samt raushan dekhte haiñ
ik alaav be-karāñ
jis meñ tamām āsmānoñ kī ridā.eñ jal rahī haiñ
aur phir
jalte gulāboñ se ubhartī za.afrānī raushnī
ham ko salāmī de rahī hai
qabr ki miTTi chura kar bhagne walon mein hum afzal nahin
hum koi qatil nahin
bismil nahin
munjamid KHunin chaTanon par do-zanu baiTh kar
ghumti sui ke raste ki salibon se Tapakte
qatra qatra surKH-ru sayyal ko
ungliyon par gin rahe hain
chun rahe hain
manzar-e-neelofari ki jhil mein
girta hua ek aasman-e-nur ka zaKHKHar shor
hum ki apni tishnagi ke sab zaruf
apni apni past-qad dahliz par toD aae the
nariyal ke aasman andoKHta sayon tale
laDkhaDa kar
aatishin sahil ki jalti ret par aundhe paDe hain
aatishin sayyal jab jab
jism ki sarhad pe ghash khae sipahi ki ragon ko chheDta hai
hosh aata hai
to chaaron samt raushan dekhte hain
ek alaw be-karan
jis mein tamam aasmanon ki ridaen jal rahi hain
aur phir
jalte gulabon se ubharti zafrani raushni
hum ko salami de rahi hai
- Book : saughat (2 and 3) (rekhta website) (Pg. 136)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.