jin lafzon mein
jin lafzoñ meñ hamāre diloñ kī bai.ateñ haiñ kyā sirf vo lafz hamāre kuchh bhī na karne
kā kaffāra ban sakte haiñ
kyā kuchh chīḳhte mānoñ vaalī satreñ sahārā ban saktī haiñ un kā
jin kī āñkhoñ meñ us des kī had un vīrāñ sehnoñ tak hai
kaise ye sher aur kyā un kī haqīqat
nā sāhab is apne lafzoñ bhare kanastar se chullū bhar kar bhiik kisī ko de kar
ham se apne qarz nahīñ utreñge
aur ye qarz ab tak kis se aur kab utre haiñ
lākhoñ nusrat-mand hujūmoñ kī ḳhandāñ ḳhandāñ ḳhūnīñ āñkhoñ se bhare hue
tārīḳh ke chaurāhoñ par
sāhib-e-taḳht-ḳhudāvandoñ kī kaTtī gardaneñ bhī hal kar na sakīñ ye masā.il
ik saa.il ke masā.il
apne apne urūjoñ kī uftādgiyoñ meñ Duub ga.iiñ sab tahzībeñ sab falsafe…
to ab ye sab harf zabūroñ meñ jo mujallad haiñ kyā hāsil un kaa…
jab tak merā ye dukh ḳhud mere lahū kī dhaḌaktī Taksāloñ meñ Dhal ke duāoñ bharī is ik
mailī jholī meñ na khanke
jo raste ke kināre mire qadmoñ pe bichhī hai
jin lafzon mein hamare dilon ki baiaten hain kya sirf wo lafz hamare kuchh bhi na karne
ka kaffara ban sakte hain
kya kuchh chiKHte manon wali satren sahaara ban sakti hain un ka
jin ki aankhon mein us des ki had un viran sehnon tak hai
kaise ye sher aur kya un ki haqiqat
na sahab is apne lafzon bhare kanastar se chullu bhar kar bhik kisi ko de kar
hum se apne qarz nahin utrenge
aur ye qarz ab tak kis se aur kab utre hain
lakhon nusrat-mand hujumon ki KHandan KHandan KHunin aankhon se bhare hue
tariKH ke chaurahon par
sahib-e-taKHt-KHudawandon ki kaTti gardanen bhi hal kar na sakin ye masail
ek sail ke masail
apne apne urujon ki uftadgiyon mein Dub gain sab tahziben sab falsafe…
to ab ye sab harf zaburon mein jo mujallad hain kya hasil un ka…
jab tak mera ye dukh KHud mere lahu ki dhaDakti Taksalon mein Dhal ke duaon bhari is ek
maili jholi mein na khanke
jo raste ke kinare mere qadmon pe bichhi hai
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 696)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.