jipsi
raḳhsh-e-tāza pe tasvīr
tanvīr
mehmāñ gurezāñ javāñ
kākul-e-nau-ba-nau meñ
dahaktā ho surḳh sūraj
hasīñ pairahan gul-badan
kahkashāñ gulsitāñ zer-o-bam yam-ba-yam zer-o-bam
shoḳh tarrār sargam
dil-e-be-karāñ meñ
baraste hue mausamoñ vādiyoñ kohsāroñ mahakte hue
murġh-zāroñ
sulagte hue reg-zāroñ
lahū rang jaltī huī razm-gāhoñ kī
saffāk barham barahna sadāoñ kā hangām
tanvīr
guzre hue ḳhvāb kī koī tasvīr
tanhā darīche meñ
imroz be-nām ḳhāke kī sūrat nihāñ
vo shab-o-roz saaya faqat ek saaya
faqat sang-o-āhan kā barg-e-siyah
sub.h shabnam nahīñ shaam sargam nahīñ
jism bīmār dīvār sā pairahan sirf rasm-e-kuhan
paañv meñ
bār-e-vāmāñdgī
bār-e-vāmāñdgī
sard kamre kī mānūs rangoñ se bichhḌī huī rahguzar
vaqt ke fāsloñ meñ sulagtā safar
raKHsh-e-taza pe taswir
tanwir
mehman gurezan jawan
kakul-e-nau-ba-nau mein
dahakta ho surKH suraj
hasin pairahan gul-badan
kahkashan gulsitan zer-o-bam yam-ba-yam zer-o-bam
shoKH tarrar sargam
dil-e-be-karan mein
baraste hue mausamon wadiyon kohsaron mahakte hue
murgh-zaron
sulagte hue reg-zaron
lahu rang jalti hui razm-gahon ki
saffak barham barahna sadaon ka hangam
tanwir
guzre hue KHwab ki koi taswir
tanha dariche mein
imroz be-nam KHake ki surat nihan
wo shab-o-roz saya faqat ek saya
faqat sang-o-ahan ka barg-e-siyah
subh shabnam nahin sham sargam nahin
jism bimar diwar sa pairahan sirf rasm-e-kuhan
panw mein
bar-e-wamandgi
bar-e-wamandgi
sard kamre ki manus rangon se bichhDi hui rahguzar
waqt ke faslon mein sulagta safar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.