jis bhi ruh ka
jis bhī ruuh kā ghūñghaT sarkāo… nīche ik
manfe.at kā ruḳh apne itminānoñ meñ raushan hai
ham samajhte the ghirte umaDte bādaloñ ke nīche jab ThanDī havā chalegī
din badleñge
lekin ab dekhā hai ghane ghane sāyoñ ke nīche
zindagiyoñ kī salsabīloñ meñ
Dhakī Dhakī jin nāliyoñ se paanī aa aa kar girtā hai
sab zer-e-zamīn nizāmoñ kī niilī kaḌiyāñ haiñ
sab tamlīkeñ haiñ sab tazlīleñ haiñ
kaun sahārā degā un ko jin ke liye sab kuchh ik karb hai
kaun sahārā degā un ko jin kā sahārā āsmānoñ ke ḳhalāoñ meñ bikhrā huā
dhundlā dhundlā ik aks hai
maiñ un aksoñ kā akkās huuñ
jis bhi ruh ka ghunghaT sarkao… niche ek
manfeat ka ruKH apne itminanon mein raushan hai
hum samajhte the ghirte umaDte baadalon ke niche jab ThanDi hawa chalegi
din badlenge
lekin ab dekha hai ghane ghane sayon ke niche
zindagiyon ki salsabilon mein
Dhaki Dhaki jin naliyon se pani aa aa kar girta hai
sab zer-e-zamin nizamon ki nili kaDiyan hain
sab tamliken hain sab tazlilen hain
kaun sahaara dega un ko jin ke liye sab kuchh ek karb hai
kaun sahaara dega un ko jin ka sahaara aasmanon ke KHalaon mein bikhra hua
dhundla dhundla ek aks hai
main un akson ka akkas hun
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 655)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.