jism ke andar jism ke bahar
maiñ ne zamīñ kī taptī ragoñ pe haath dhare haiñ
maiñ ne zamīñ kī taptī ragoñ se
tapte lahū ko ubalte dekhā hai
un rastoñ pe un galiyoñ pe
patthar jaisī saḳht havā ke
surḳh dhamāke dekhe haiñ
raat kī mutvarrim ghaḌiyoñ meñ
zard makānoñ ke sehnoñ meñ
lahū ko girte dekhā hai
qatra qatra qatra
qatra qatra bante bante ek samundar
ik be-pāyāñ taptā surḳh samundar
zard makānoñ kī rag rag meñ
taptā surḳh samundar
un galiyoñ kī būḌhī chhāl pe ifrītoñ ke hamle
taptī zamīñ ke sātvīñ talve tak lahrātī andhī chīḳheñ
kitnī hī zālim sadiyoñ se
andhī chīḳheñ mere tapte jism ke jalte ḳhaliyoñ
zard masāmoñ ke darroñ meñ bhaTak rahī haiñ
chīḳheñ mere jism kī ik ik rag meñ yūrish kartī haiñ
nafrat kā tīkhā lashkāra jism ko kāTtā rahtā hai
jis ke andar jism ke bāhar
ḳhuun kā andhā laavā bahtā rahtā hai
main ne zamin ki tapti ragon pe hath dhare hain
main ne zamin ki tapti ragon se
tapte lahu ko ubalte dekha hai
un raston pe un galiyon pe
patthar jaisi saKHt hawa ke
surKH dhamake dekhe hain
raat ki mutwarrim ghaDiyon mein
zard makanon ke sehnon mein
lahu ko girte dekha hai
qatra qatra qatra
qatra qatra bante bante ek samundar
ek be-payan tapta surKH samundar
zard makanon ki rag rag mein
tapta surKH samundar
un galiyon ki buDhi chhaal pe ifriton ke hamle
tapti zamin ke satwin talwe tak lahraati andhi chiKHen
kitni hi zalim sadiyon se
andhi chiKHen mere tapte jism ke jalte KHaliyon
zard masamon ke darron mein bhaTak rahi hain
chiKHen mere jism ki ek ek rag mein yurish karti hain
nafrat ka tikha lashkara jism ko kaTta rahta hai
jis ke andar jism ke bahar
KHun ka andha lawa bahta rahta hai
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 132)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.