havā ke paañv is ziine talak aa.e the lagtā hai
diye kī lau pe ye bosa usī kā hai
mirī gardan se siine tak
ḳharāshoñ kī lakīroñ kā ye gul-dasta
tilismī qufl khulne kī isī saa.at kī ḳhātir
hijr ke mausam guzāre haiñ
havā ne muddatoñ meñ paañv paanī meñ utāre haiñ
mirī pislī se paidā ho
vahī gandum kī bū le kar
zamīñ aur āsmāñ kī vus.ateñ
mujh meñ simaT aa.eñ
uluhī lazzat-e-nāyāb se sarshār kar mujh ko
maiñ ik pyāsā samundar huuñ
tū apnī jism kī kashtī meñ aa
aur paar kar mujh ko
hawa ke panw is zine talak aae the lagta hai
diye ki lau pe ye bosa usi ka hai
meri gardan se sine tak
KHarashon ki lakiron ka ye gul-dasta
tilismi qufl khulne ki isi saat ki KHatir
hijr ke mausam guzare hain
hawa ne muddaton mein panw pani mein utare hain
meri pisli se paida ho
wahi gandum ki bu le kar
zamin aur aasman ki wusaten
mujh mein simaT aaen
uluhi lazzat-e-nayab se sarshaar kar mujh ko
main ek pyasa samundar hun
tu apni jism ki kashti mein aa
aur par kar mujh ko
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 532)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.