jism ki qaid
vahī TuuT ke girte lamhoñ kī lāsheñ
vahī reza-reza shuāoñ kī aaheñ
nishāñ apnā ham DhūñDte haiñ
lahaktī zamīnoñ pe
be-jān pattoñ kā
nauha sunātī
daraḳhtoñ kī ujḌe daraḳhtoñ kī
nangī akaḌtī sī shāḳheñ muqaddar hamārā
muqaddas irāde
gunāhoñ ke malbūs meñ
chāroñ jānib
na jaane kise DhūñDte haiñ
sabhī uryāñ logoñ se kyā pūchhte haiñ muqaddas irāde
chalo
nangī ḳhvāhish ko
le jaa.eñ
dasht-e-siyah-kār tak
aur
bhaTaktī huī rūhoñ ke rū-ba-rū
nazr ḳhud ko kareñ
aur un se kaheñ
suno
jism kī qaid par
bas hamārā nahīñ hai
hameñ jism kī qaid se tum nikālo
gale se lagā lo
gale se lagā lo
wahi TuT ke girte lamhon ki lashen
wahi reza-reza shuaon ki aahen
nishan apna hum DhunDte hain
lahakti zaminon pe
be-jaan patton ka
nauha sunati
daraKHton ki ujDe daraKHton ki
nangi akaDti si shaKHen muqaddar hamara
muqaddas irade
gunahon ke malbus mein
chaaron jaanib
na jaane kise DhunDte hain
sabhi uryan logon se kya puchhte hain muqaddas irade
chalo
nangi KHwahish ko
le jaen
dasht-e-siyah-kar tak
aur
bhaTakti hui ruhon ke ru-ba-ru
nazr KHud ko karen
aur un se kahen
suno
jism ki qaid par
bas hamara nahin hai
hamein jism ki qaid se tum nikalo
gale se laga lo
gale se laga lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.