jism ki talash
jism bhī TuuT chukā kaun use pahchāne
ruuh merī mujhe āvāz na de paa.ī kabhī
rāste bhī mirī parchhā.īñ se aage na baḌhe
aur ehsās kī qindīl bujhī shaam Dhale
raat guzrī to huā yuuñ mahsūs
niim vahshī sī kahānī thī sunāne ko jise
sub.h-e-nau jaise dabe paañv chalī aa.ī mire kamre meñ
aur
maiñ shahr-e-ḳhamoshāñ meñ ka.ī sadiyoñ tak
yahī sochā kiyā jaise mirā TuuTā huā bikhrā huā jism
isī farsūda kahānī meñ chhupā baiThā hai
maiñ ne sochā ki
use DhūñDhuñ
use apne qarīb lā.ūñ
aur pūchhūñ ki mirī zaat se ho kar tū judā
kyuuñ asātīr ke zindāñ meñ rahā yuuñ mahbūs
jism bhi TuT chuka kaun use pahchane
ruh meri mujhe aawaz na de pai kabhi
raste bhi meri parchhain se aage na baDhe
aur ehsas ki qindil bujhi sham Dhale
raat guzri to hua yun mahsus
nim wahshi si kahani thi sunane ko jise
subh-e-nau jaise dabe panw chali aai mere kamre mein
aur
main shahr-e-KHamoshan mein kai sadiyon tak
yahi socha kiya jaise mera TuTa hua bikhra hua jism
isi farsuda kahani mein chhupa baiTha hai
main ne socha ki
use DhunDhun
use apne qarib laun
aur puchhun ki meri zat se ho kar tu juda
kyun asatir ke zindan mein raha yun mahbus
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 23)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.