jism-o-jaan ka safar
tum
mujhe yūñhī rahne do
merī aahoñ ko
havā ke dosh par
yūñhī bahne do
lafz to vo bhī nahīñ
lafz to maiñ bhī nahīñ
yahāñ lafz to koī bhī nahīñ
magar ham donoñ meñ koī fāsla bhī nahīñ
na jaane kaun hai vo
jo ga.ī raat tak
mere andar jāgtā hai
ang ang meñ boltā
nas nas meñ Doltā hai
lahū lahū chīḳhtā hai
jism-o-jāñ kā ye safar kitnā dushvār hai
mujhe
din ke bāzār se ḳharīde hue
is ibn-e-ādam kī justujū hai
jo be-nishāñ rāsto par
mujhe qatl kar de
mujhe us hādse kī talāsh hai
jo mujhe abhī ḳhatm kar de
yā phir
merī ruuh kī azaañ kā
koī ta.āqub kare
duāoñ kī tafsīr meñ
pal pal nazreñ bichhā.e
vafā kī aag se raushan
charāġh-e-tūr liye
kisī dīvār ke lab se koī naġhma sunā.e
hama-vaqt mohabbat jatā.e
lekin maiñ to
us sadī ke qarz kā suud huuñ
jis kī adā.egī mumkin na ho sakegī
na ruk sakegī pighaltī mom jismoñ kī
na khankegī chūḌī na galī jāgegī
tumhāre āñgan se
utrī huī dhuup
mere āñgan tak ko pahuñchī hai
lekin mujhe yaqīn hai
ki vo phir fazāoñ meñ kho jā.egī
ik din sannāTe meñ Duub jā.egī
tum
mujhe yunhi rahne do
meri aahon ko
hawa ke dosh par
yunhi bahne do
lafz to wo bhi nahin
lafz to main bhi nahin
yahan lafz to koi bhi nahin
magar hum donon mein koi fasla bhi nahin
na jaane kaun hai wo
jo gai raat tak
mere andar jagta hai
ang ang mein bolta
nas nas mein Dolta hai
lahu lahu chiKHta hai
jism-o-jaan ka ye safar kitna dushwar hai
mujhe
din ke bazar se KHaride hue
is ibn-e-adam ki justuju hai
jo be-nishan rasto par
mujhe qatl kar de
mujhe us hadse ki talash hai
jo mujhe abhi KHatm kar de
ya phir
meri ruh ki azan ka
koi taaqub kare
duaon ki tafsir mein
pal pal nazren bichhae
wafa ki aag se raushan
charagh-e-tur liye
kisi diwar ke lab se koi naghma sunae
hama-waqt mohabbat jatae
lekin main to
us sadi ke qarz ka sud hun
jis ki adaegi mumkin na ho sakegi
na ruk sakegi pighalti mom jismon ki
na khankegi chuDi na gali jagegi
tumhaare aangan se
utri hui dhup
mere aangan tak ko pahunchi hai
lekin mujhe yaqin hai
ki wo phir fazaon mein kho jaegi
ek din sannaTe mein Dub jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.