jism se aage ki manzil
jism kī aag kahāñ bujhtī hai
log kis vaqt mohabbat kā nasha sūñghte haiñ
kitne TukḌoñ meñ bikharte haiñ vo
aur phir joḌte haiñ
ek ik kar ke badan ke a.azā
aur yahī kahte haiñ
ḳhaak ke qurb kī betāb kashish
ek be-faiz sī sar-garmī hai
jism se aage kī manzil nahīñ dekhī ham ne
jism ki aag kahan bujhti hai
log kis waqt mohabbat ka nasha sunghte hain
kitne TukDon mein bikharte hain wo
aur phir joDte hain
ek ek kar ke badan ke aaza
aur yahi kahte hain
KHak ke qurb ki betab kashish
ek be-faiz si sar-garmi hai
jism se aage ki manzil nahin dekhi hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.