jitne alfaz hain sab kahe ja chuke
ek muddat huī sochte sochte
tum se kahnā hai kuchh par maiñ kaise kahūñ
aarzū hai mujhe aise alfāz kī
jo kisī ne kisī se kahe hī na hoñ
sochtā huuñ ki mauj-e-sabā ke subuk paañv meñ koī pāzeb hī Daal duuñ
chāhtā huuñ ki in titliyoñ ke paroñ meñ dhanak bāñdh duuñ
surma.ī shaam ke gesuoñ meñ bañdhī bārisheñ khol duuñ ḳhushbueñ ghol duuñ
phuul ke surḳh hoñToñ pe afshāñ rakhūñ
ḳhvāb kī maañg meñ nuur sindūr kī kahkashāñ khīñch duuñ
ik taḳhayyul kī be-rabtiyoñ ko tasalsul kī zanjīr duuñ
ḳhvāb ko jism duuñ jism ko ism duuñ
koī ta.abīr duuñ ek tasvīr duuñ aur tasvīr ko rū-ba-rū rakh ke ik harf-e-tauqīr duuñ
kyā kahūñ ye kahūñ yuuñ kahūñ par maiñ kaise kahūñ
jitne alfāz haiñ sab kahe jā chuke sab sune jā chuke
tishna iz.hār ko mo'atabar sā koī ab sahārā mile
ik kināya mile ik ishāra mile
ḳhūb-sūrat anokhī alāmat mile an-kahā an-sunā isti.āra mile
aarzū hai mujhe aise alfāz kī justujū hai mujhe aise alfāz kī
jin se patthar ko paanī kiyā jā sake
ḳhvāb ko ik haqīqat kiyā jā sake
ek zinda kahānī kiyā jā sake
sarhad-e-jāvedānī kiyā jā sake
ek muddat hui sochte sochte
tum se kahna hai kuchh par main kaise kahun
aarzu hai mujhe aise alfaz ki
jo kisi ne kisi se kahe hi na hon
sochta hun ki mauj-e-saba ke subuk panw mein koi pazeb hi Dal dun
chahta hun ki in titliyon ke paron mein dhanak bandh dun
surmai sham ke gesuon mein bandhi barishen khol dun KHushbuen ghol dun
phul ke surKH honTon pe afshan rakhun
KHwab ki mang mein nur sindur ki kahkashan khinch dun
ek taKHayyul ki be-rabtiyon ko tasalsul ki zanjir dun
KHwab ko jism dun jism ko ism dun
koi tabir dun ek taswir dun aur taswir ko ru-ba-ru rakh ke ek harf-e-tauqir dun
kya kahun ye kahun yun kahun par main kaise kahun
jitne alfaz hain sab kahe ja chuke sab sune ja chuke
tishna izhaar ko mo'atabar sa koi ab sahaara mile
ek kinaya mile ek ishaara mile
KHub-surat anokhi alamat mile an-kaha an-suna istiara mile
aarzu hai mujhe aise alfaz ki justuju hai mujhe aise alfaz ki
jin se patthar ko pani kiya ja sake
KHwab ko ek haqiqat kiya ja sake
ek zinda kahani kiya ja sake
sarhad-e-jawedani kiya ja sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.