jizya
guḌiyā sī ye laḌkī
jis kī ujlī hañsī se
merā āñgan damak rahā hai
kal jab saat samundar paar chalī jā.egī
aur sāhilī shahr ke surḳh chhatoñ vaale ghar ke andar
puure chāñd kī raushnī ban kar bikhregī
ham sab us ko yaad kareñge
aur apne ashkoñ ke sachche motiyoñ se
saarī umr
ik aisā suud utārte jā.eñge
jis kā asl bhī ham par qarz nahīñ thaa!
guDiya si ye laDki
jis ki ujli hansi se
mera aangan damak raha hai
kal jab sat samundar par chali jaegi
aur sahili shahr ke surKH chhaton wale ghar ke andar
pure chand ki raushni ban kar bikhregi
hum sab us ko yaad karenge
aur apne ashkon ke sachche motiyon se
sari umr
ek aisa sud utarte jaenge
jis ka asl bhi hum par qarz nahin tha!
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 198)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.