jo jis ki jagah hai
phuul maiñ ne gul-dān meñ rakkhe
bosa jabīn par
aur
dil us kī zulfoñ meñ Taañk diyā
jo jis kī jagah hai
āñkheñ us kī hathelī pe rakh diiñ
āvāz muTThī meñ dabā dī
aur
hiss-e-samā'at us kī dhaḌkanoñ meñ Daal dī
jo jis kī jagah hai
vābastagī ke iz.hār kī saañs maiñ ne us ke
siine par lī
din bhar kī thakāvaT kā kāñch kamar pe toḌā
aur
mohabbat kā biij dil meñ boyā
jo jis kī jagah hai
kā.enāt ke 'azīm bāġhīchoñ meñ
dil sab se 'umda bāġhīcha hai
phul main ne gul-dan mein rakkhe
bosa jabin par
aur
dil us ki zulfon mein Tank diya
jo jis ki jagah hai
aankhen us ki hatheli pe rakh din
aawaz muTThi mein daba di
aur
hiss-e-sama'at us ki dhaDkanon mein Dal di
jo jis ki jagah hai
wabastagi ke izhaar ki sans main ne us ke
sine par li
din bhar ki thakawaT ka kanch kamar pe toDa
aur
mohabbat ka bij dil mein boya
jo jis ki jagah hai
kaenat ke 'azim baghichon mein
dil sab se 'umda baghicha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.