jo KHud mein tashkil ho raha hai
kabhī kabhī mujh ko jaan paḌtā hai
jaise mujh meñ
ghirā huā parbatoñ se
ḳhālī sā ik mahal ho
jahāñ kabhī
budh ke ilm kā ik ḳhazāna thā
jis jagah
shlok aur mantar māhaul meñ
nahīñ
ḳhud mire hī andar
mirī sadā meñ
himāliyā.ī havāoñ kī tarah gūñjte the
ajiib azmat ke saath maiñ yuuñ alag-thalak thā
ki jis tarah merī maut kī baat
qarnahā qarn se hai vo raaz
maiñ hī bas jis ko jāntā huuñ
maiñ apne andar vo aatmā huuñ
jise kabhī
ik aziim peshen-goī kā sail-e-be-samā.at
mahal samet āsmān meñ le uḌā thā
yā phir
maiñ ik tanāv huuñ
āsmānoñ kī samt
bachpan ke hairat-añgez ḳhvāb ke be bane mahal sā
jahāñ mire chāroñ samt rāheñ
safed ret aur barf kī
apnī apnī had se
mirī taraf baḌh rahī haiñ
jaise
maiñ devtāoñ kā huuñ vo maskan
jo sab ko apnī taraf bulātā hai aur
sab kī pahuñch se kuchh is tarah pare hai
ki jaise maiñ dekhne kī had huuñ
maiñ ek parbat huuñ
vādiyāñ jis ne baañT dī haiñ
maiñ ik guphā huuñ
jo vādiyoñ ko milā rahī hai
maiñ jaise sadiyoñ kī yātrā kī vo gahrī āvāz huuñ jo ab tak
guphā ke andar se aa rahī hai
maiñ ek bhikshū huuñ
jo kabhī kā
isī guphā meñ samā chukā hai
jo ḳhud meñ tashkīl ho rahā thā
jo ḳhud meñ tashkīl ho rahā hai
kabhi kabhi mujh ko jaan paDta hai
jaise mujh mein
ghira hua parbaton se
KHali sa ek mahal ho
jahan kabhi
budh ke ilm ka ek KHazana tha
jis jagah
shlok aur mantar mahaul mein
nahin
KHud mere hi andar
meri sada mein
himaliyai hawaon ki tarah gunjte the
ajib azmat ke sath main yun alag-thalak tha
ki jis tarah meri maut ki baat
qarnaha qarn se hai wo raaz
main hi bas jis ko jaanta hun
main apne andar wo aatma hun
jise kabhi
ek azim peshen-goi ka sail-e-be-samaat
mahal samet aasman mein le uDa tha
ya phir
main ek tanaw hun
aasmanon ki samt
bachpan ke hairat-angez KHwab ke be bane mahal sa
jahan mere chaaron samt rahen
safed ret aur barf ki
apni apni had se
meri taraf baDh rahi hain
jaise
main dewtaon ka hun wo maskan
jo sab ko apni taraf bulata hai aur
sab ki pahunch se kuchh is tarah pare hai
ki jaise main dekhne ki had hun
main ek parbat hun
wadiyan jis ne banT di hain
main ek gupha hun
jo wadiyon ko mila rahi hai
main jaise sadiyon ki yatra ki wo gahri aawaz hun jo ab tak
gupha ke andar se aa rahi hai
main ek bhikshu hun
jo kabhi ka
isi gupha mein sama chuka hai
jo KHud mein tashkil ho raha tha
jo KHud mein tashkil ho raha hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 344)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.