jo mere marne ka tamasha nahin dekhna chahti
maiñ jis din paidā huā
usī din se mar rahā huuñ
vo table par pyāle meñ
talḳh mahlūl rakhā thā
ab nahīñ hai
vo ik dariyā bahtā thā
use ḳhushk kar diyā gayā hai
vo chhat se rassī Tañgī thī
haTā dī ga.ī hai
maiñ tamām umr apnoñ ke narġhe meñ rahā huuñ
mujhe merā pyāla
merā dariyā
merī rassī
thoḌī der ke liye
vāpas kiye jaa.eñ
maiñ us piyāle ko toḌ kar
us kī miTTī se
ek dil banā.ūñgā
jis meñ koī talḳh yaad nahīñ hogī
maiñ dariyā meñ apne ḳhvāb Daal dūñgā
unheñ merī zarūrat nahīñ
maiñ rassī se
us kashtī ko bāñdhūñgā
jis meñ ek aurat
phūloñ kī Tokarī liye
baiThī hai
jo mere marne kā tamāshā nahīñ dekhnā chāhtī
main jis din paida hua
usi din se mar raha hun
wo table par pyale mein
talKH mahlul rakha tha
ab nahin hai
wo ek dariya bahta tha
use KHushk kar diya gaya hai
wo chhat se rassi Tangi thi
haTa di gai hai
main tamam umr apnon ke narghe mein raha hun
mujhe mera pyala
mera dariya
meri rassi
thoDi der ke liye
wapas kiye jaen
main us piyale ko toD kar
us ki miTTi se
ek dil banaunga
jis mein koi talKH yaad nahin hogi
main dariya mein apne KHwab Dal dunga
unhen meri zarurat nahin
main rassi se
us kashti ko bandhunga
jis mein ek aurat
phulon ki Tokari liye
baiThi hai
jo mere marne ka tamasha nahin dekhna chahti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.