jo mumkin ho mujhko mujhi se mila do
diary kā vo saf.ha
ki jis pe utārī ga.ī nazm merī
use dekhne ko nazar jaane kitnī
kitāboñ ke pannoñ bahut ḳhushk hote chanāroñ ke pattoñ se ho aa chukī hai
aur afsurdagī se tumheñ dekhtī hai
vo saf.ha tirī diary meñ kahīñ saañs lete hue
ik tasalsul se mere qalam ke hasīñ ḳhvāb meñ kho chukā hai
vo hasīñ ḳhvāb aur diary kā vo saf.ha
mujhe dekhnā hai
vo saf.ha dikhā do
jo mumkin ho mujh ko mujhī se milā do
jo mumkin ho mujh ko mujhī se milā do
diary ka wo safha
ki jis pe utari gai nazm meri
use dekhne ko nazar jaane kitni
kitabon ke pannon bahut KHushk hote chanaron ke patton se ho aa chuki hai
aur afsurdagi se tumhein dekhti hai
wo safha teri diary mein kahin sans lete hue
ek tasalsul se mere qalam ke hasin KHwab mein kho chuka hai
wo hasin KHwab aur diary ka wo safha
mujhe dekhna hai
wo safha dikha do
jo mumkin ho mujh ko mujhi se mila do
jo mumkin ho mujh ko mujhi se mila do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.