jo yun hota to kya hota
ye masdar ism-e-māzī kā nahīñ hai
aap kahiye to batā dete haiñ hone ko
jo yuuñ hotā to kyā hotā
na hotā gar judā tan se to zaanū par dharā hotā
vo tum se ibn-e-muljim kā patā pūchheñ to kahnā
chaar haftoñ se bahut masrūf hai
roTī nahīñ khaa.ī
saroñ kī fasl bār-e-ḳhushk-sālī se garāñ hai
log masjid bhī nahīñ jaate
maiñ us ko masjid-e-zarrār ke bāhar milūñgā
vo ghoḌoñ kī tarah the
farba-andāmī pe maa.il
saath vaalī khiḌkiyoñ par hinhināte the
ab un ke na.al Thoñkī jā rahī hai
merā ghar jaanā zarūrī hai
ki aise meñ hamesha chhuTTiyoñ kā kaal hotā hai
chalo ghar kī taraf chalte haiñ
bāhar barf-bārī hai
maiñ tum par nazm likhūñgā
mohabbat laḌkiyoñ ko astabal meñ chhoḌ aatī hai
maiñ tum ko beach khiḌkī meñ biThā kar nazm likhūñgā
tumheñ aatā to hogā darmiyāñ se lauTnā
maiñ lauTne par nazm likhūñgā
ye masdar ism maazī kā nahīñ hai
tum jo kah do to bulā lete haiñ ghar se ibn-e-muljim ko
mujhe apnī zamīn astabal kī qist denī hai
use bhī koī sūrat chāhiye ghar se nikalne kī
ye masdar ism-e-mazi ka nahin hai
aap kahiye to bata dete hain hone ko
jo yun hota to kya hota
na hota gar juda tan se to zanu par dhara hota
wo tum se ibn-e-muljim ka pata puchhen to kahna
chaar hafton se bahut masruf hai
roTi nahin khai
saron ki fasl bar-e-KHushk-sali se garan hai
log masjid bhi nahin jate
main us ko masjid-e-zarrar ke bahar milunga
wo ghoDon ki tarah the
farba-andami pe mail
sath wali khiDkiyon par hinhinate the
ab un ke nal Thonki ja rahi hai
mera ghar jaana zaruri hai
ki aise mein hamesha chhuTTiyon ka kal hota hai
chalo ghar ki taraf chalte hain
bahar barf-bari hai
main tum par nazm likhunga
mohabbat laDkiyon ko astabal mein chhoD aati hai
main tum ko beach khiDki mein biTha kar nazm likhunga
tumhein aata to hoga darmiyan se lauTna
main lauTne par nazm likhunga
ye masdar ism mazi ka nahin hai
tum jo kah do to bula lete hain ghar se ibn-e-muljim ko
mujhe apni zamin astabal ki qist deni hai
use bhi koi surat chahiye ghar se nikalne ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.