jogi
maiñ ruuh huuñ is vīrāne kī
jo ḳhaak bagūla phirtī hai
ik chehra is afsāne kā
be-kār jo taḌpā kartā hai
ik lāsha un armānoñ kā
be-dām jo biktā rahtā hai
maiñ bastī bastī nagar nagar
betāb tamannā.eñ le kar
ḳhālī jholī gadlā dāmāñ
har galī galī phailā.e hue
be-ḳhvāb sī suunī āñkhoñ ko
kuchh ḳhvāb na.e dikhlātā huuñ
TuuTe barbat se niklī huī
kuchh dhuneñ unheñ sunvātā huuñ
is aas meñ DhūñDhtā rahtā huuñ
ki shāyad inhīñ tānoñ se kahīñ
lai phūTe na.e afsāne kī
girdāb kī tarah se ubal paḌe
suunī dhartī armānoñ kī
main ruh hun is virane ki
jo KHak bagula phirti hai
ek chehra is afsane ka
be-kar jo taDpa karta hai
ek lasha un armanon ka
be-dam jo bikta rahta hai
main basti basti nagar nagar
betab tamannaen le kar
KHali jholi gadla daman
har gali gali phailae hue
be-KHwab si suni aankhon ko
kuchh KHwab nae dikhlata hun
TuTe barbat se nikli hui
kuchh dhunen unhen sunwata hun
is aas mein DhunDhta rahta hun
ki shayad inhin tanon se kahin
lai phuTe nae afsane ki
girdab ki tarah se ubal paDe
suni dharti armanon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.