judai
judā.ī chāhe kisī tarah kī bhī ho ai dost
dil-o-jigar meñ ye kāñTe chubho hī detī hai
bachā ke rakhnā bahut hī muhāl hai is se
ye bahr-e-ġham meñ safīna Dubo hī detī hai
kisī kā is pe koī jabr-o-iḳhtiyār nahīñ
ye dil ke ḳhuun se dāman bhigo hī detī hai
hamārī aañkh se aañsū na kyoñ baheñ ai dost
ham ahl-e-dard judā.ī ke ġham se vāqif haiñ
tire firāq meñ kaise na dil se huuk uThe
ki ham aziyyat-e-shām-e-alam se vāqif haiñ
zarā sī Thes ke ḳhatre se dil dahaltā hai
ham apnī nāzukī-e-chashm-e-nam se vāqif haiñ
hamāre haal pe lekin na rakh nazar ai dost
tū apnī rāh-e-daraḳhshāñ kī samt dekh zarā
gul-e-tarab se jo dāman ko bharne vaalī hai
tū us nigāh-e-bahārāñ kī samt dekh zarā
vo chhuT rahī hai siyāhī ubhar rahī hai sahar
tulū-e-mahr-e-daraḳhshāñ kī samt dekh zarā
judai chahe kisi tarah ki bhi ho ai dost
dil-o-jigar mein ye kanTe chubho hi deti hai
bacha ke rakhna bahut hi muhaal hai is se
ye bahr-e-gham mein safina Dubo hi deti hai
kisi ka is pe koi jabr-o-iKHtiyar nahin
ye dil ke KHun se daman bhigo hi deti hai
hamari aankh se aansu na kyon bahen ai dost
hum ahl-e-dard judai ke gham se waqif hain
tere firaq mein kaise na dil se huk uThe
ki hum aziyyat-e-sham-e-alam se waqif hain
zara si Thes ke KHatre se dil dahalta hai
hum apni nazuki-e-chashm-e-nam se waqif hain
hamare haal pe lekin na rakh nazar ai dost
tu apni rah-e-daraKHshan ki samt dekh zara
gul-e-tarab se jo daman ko bharne wali hai
tu us nigah-e-bahaaran ki samt dekh zara
wo chhuT rahi hai siyahi ubhar rahi hai sahar
tulu-e-mahr-e-daraKHshan ki samt dekh zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.