judai ke chaar mausam
pahlā mausam
jaldī aanā
dekh bahāreñ aane ko haiñ
kalī kalī muskāne ko hai
dūsrā mausam
aa bhī jā nā
kahīñ bahāreñ biit na jaa.eñ
phir ye judā.iyāñ jiit na jaa.eñ
tīsrā mausam
ab jo aanā
saath meñ ik chingārī laanā
Dher hai ik sūkhe pattoñ kā
āḳhirī mausam
ab na aanā
pattā pattā
bikhar chukā hai
pahla mausam
jaldi aana
dekh bahaaren aane ko hain
kali kali muskane ko hai
dusra mausam
aa bhi ja na
kahin bahaaren bit na jaen
phir ye judaiyan jit na jaen
tisra mausam
ab jo aana
sath mein ek chingari lana
Dher hai ek sukhe patton ka
aaKHiri mausam
ab na aana
patta patta
bikhar chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.