judai ki pahli raat
aañkh bojhal hai
magar niiñd nahīñ aatī hai
merī gardan meñ hamā.il tirī bāñheñ jo nahīñ
kisī karvaT bhī mujhe chain nahīñ paḌtā hai
sard paḌtī huī raat
māñgne aa.ī hai phir mujh se
tire narm badan kī garmī
aur darīchoñ se jhijaktī huī āhista havā
khojtī hai mire ġham-ḳhāne meñ
terī sāñsoñ kī gulābī ḳhushbū!
merā bistar hī nahīñ
dil bhī bahut ḳhālī hai
ik ḳhalā hai ki mirī ruuh meñ dahshat kī tarah utrā hai
terā nanhā sā vajūd
kaise us ne mujhe bhar rakkhā thā
tire hote hue duniyā se ta.alluq kī zarūrat hī na thī
saarī vābastagiyāñ tujh se thiiñ
tū mirī soch bhii, tasvīr bhī aur bolī bhī
maiñ tirī maañ, bhī tirī dost bhī ham-jolī bhī
tere jaane pe khulā
lafz hī koī mujhe yaad nahīñ
baat karnā hī mujhe bhuul gayā!
tū mirī ruuh kā hissa thā
mire chāroñ taraf
chāñd kī tarah se raqsāñ thā magar
kis qadar jald tirī hastī ne
mire atrāf meñ sūraj kī jagah le lī hai
ab tire gird maiñ raqsinda huuñ!
vaqt kā faisla thā
tire fardā kī rifāqat ke liye
merā imroz akelā rah jaa.e
mire bachche, mire laal
farz to mujh ko nibhānā hai magar
dekh ki kitnī akelī huuñ maiñ!
aankh bojhal hai
magar nind nahin aati hai
meri gardan mein hamail teri banhen jo nahin
kisi karwaT bhi mujhe chain nahin paDta hai
sard paDti hui raat
mangne aai hai phir mujh se
tere narm badan ki garmi
aur darichon se jhijakti hui aahista hawa
khojti hai mere gham-KHane mein
teri sanson ki gulabi KHushbu!
mera bistar hi nahin
dil bhi bahut KHali hai
ek KHala hai ki meri ruh mein dahshat ki tarah utra hai
tera nanha sa wajud
kaise us ne mujhe bhar rakkha tha
tere hote hue duniya se talluq ki zarurat hi na thi
sari wabastagiyan tujh se thin
tu meri soch bhi, taswir bhi aur boli bhi
main teri man, bhi teri dost bhi ham-joli bhi
tere jaane pe khula
lafz hi koi mujhe yaad nahin
baat karna hi mujhe bhul gaya!
tu meri ruh ka hissa tha
mere chaaron taraf
chand ki tarah se raqsan tha magar
kis qadar jald teri hasti ne
mere atraf mein suraj ki jagah le li hai
ab tere gird main raqsinda hun!
waqt ka faisla tha
tere farda ki rifaqat ke liye
mera imroz akela rah jae
mere bachche, mere lal
farz to mujh ko nibhana hai magar
dekh ki kitni akeli hun main!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.