judai
nigār-e-shām-e-ġham maiñ tujh se ruḳhsat hone aayā huuñ
gale mil le ki yuuñ milne kī naubat phir na aa.egī
sar-e-rāhe jo ham donoñ kahīñ mil bhī ga.e to kyā
ye lamhe phir na lauTeñge ye saa.at phir na aa.egī
ki maiñ ab sirf in guzre hue lamhoñ kā saaya huuñ
isī bāzār meñ baara baras hone ko aa.e haiñ
ki maiñ ne fastes kī tarah apnī ruuh bechī thī
masarrat kī musalsal gardish-e-yaksāñ se uktā kar
tujhe hāsil kiyā thā aur har sūrat bhulā dī thī
purāne sāz-o-sāmāñ ab mujhe rone ko aa.e haiñ
ġhazab kī tīrgī hai rāsta dekhā nahīñ jaatā
havā ke shor meñ dariyā kī maujeñ baḌhtī jaatī haiñ
zamīñ se ukhḌe jaate haiñ daraḳhtoñ ke qadam paiham
chaTāneñ ruup badle zer-e-lab kuchh paḌhtī jaatī haiñ
ab apnī uñgliyoñ kā fāsla dekhā nahīñ jaatā
jaras kī naġhmagī āvāz mātam hotī jaatī hai
vahī ma.amūl ke but haiñ vahī lamhoñ kī vīrānī
zarā sī der meñ ye dhaḌkaneñ bhī Duub jā.eñgī
mirī āñkhoñ tak aa pahuñchā hai ab bahtā huā paanī
tirī āvāz maddham aur maddham hotī jaatī hai
nigar-e-sham-e-gham main tujh se ruKHsat hone aaya hun
gale mil le ki yun milne ki naubat phir na aaegi
sar-e-rahe jo hum donon kahin mil bhi gae to kya
ye lamhe phir na lauTenge ye saat phir na aaegi
ki main ab sirf in guzre hue lamhon ka saya hun
isi bazar mein bara baras hone ko aae hain
ki main ne fastes ki tarah apni ruh bechi thi
masarrat ki musalsal gardish-e-yaksan se ukta kar
tujhe hasil kiya tha aur har surat bhula di thi
purane saz-o-saman ab mujhe rone ko aae hain
ghazab ki tirgi hai rasta dekha nahin jata
hawa ke shor mein dariya ki maujen baDhti jati hain
zamin se ukhDe jate hain daraKHton ke qadam paiham
chaTanen rup badle zer-e-lab kuchh paDhti jati hain
ab apni ungliyon ka fasla dekha nahin jata
jaras ki naghmagi aawaz matam hoti jati hai
wahi mamul ke but hain wahi lamhon ki virani
zara si der mein ye dhaDkanen bhi Dub jaengi
meri aankhon tak aa pahuncha hai ab bahta hua pani
teri aawaz maddham aur maddham hoti jati hai
- Book : kulliyat-e-mustafa zaidii(mauj mrii sadaf sadaf (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.