judai
nigār-e-shām-e-ġham maiñ tujh se ruḳhsat hone aayā huuñ
gale mil le ki yuuñ milne kī naubat phir na aa.egī
sar-e-rāhe jo ham donoñ kahīñ mil bhī ga.e to kyā
ye lamhe phir na lauTeñge ye saa.at phir na aa.egī
jaras kī naġhmagī āvāz-e-mātam hotī jaatī hai
ġhazab kī tīrgī hai rāsta dekhā nahīñ jaatā
ye maujoñ kā talātum ye bhare dariyā kī tuġhyānī
zarā sī der meñ ye dhaḌkaneñ bhī Duub jā.eñgī
mirī ā.ankhoñ tak aa pahuñchā hai ab bahtā huā paanī
tirī āvāz maddham aur maddham hotī jaatī hai
nigar-e-sham-e-gham main tujh se ruKHsat hone aaya hun
gale mil le ki yun milne ki naubat phir na aaegi
sar-e-rahe jo hum donon kahin mil bhi gae to kya
ye lamhe phir na lauTenge ye saat phir na aaegi
jaras ki naghmagi aawaz-e-matam hoti jati hai
ghazab ki tirgi hai rasta dekha nahin jata
ye maujon ka talatum ye bhare dariya ki tughyani
zara si der mein ye dhaDkanen bhi Dub jaengi
meri aaankhon tak aa pahuncha hai ab bahta hua pani
teri aawaz maddham aur maddham hoti jati hai
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Shahr-e-Aazar) (Pg. 32)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.