jugnu
kināre jhiil ke phirtā hai jugnū
kabhī uḌtā kabhī girtā hai jugnū
havā kī god meñ ik raushnī hai
ki nannhī sham.a koī uḌ rahī hai
sitāra sā chamaktā hai fazā meñ
sharāra uḌtā phirtā hai havā meñ
koī mahtāb sī chhoTī hai goyā
sitāre kī kiran TuuTī hai goyā
añdhere meñ sunahrī tītarī hai
ki sone kī koī nannhī parī hai
harī shāḳhoñ pe jugnū chhā ga.e haiñ
zamīñ par yā sitāre aa ga.e haiñ
munavvar saare baaġh aur ban haiñ in se
añdherī Dāliyāñ raushan haiñ in se
nahīñ ārām se sote magar ye
ki uḌte phirte haiñ yuuñ raat bhar ye
kinare jhil ke phirta hai jugnu
kabhi uDta kabhi girta hai jugnu
hawa ki god mein ek raushni hai
ki nannhi shama koi uD rahi hai
sitara sa chamakta hai faza mein
sharara uDta phirta hai hawa mein
koi mahtab si chhoTi hai goya
sitare ki kiran TuTi hai goya
andhere mein sunahri titari hai
ki sone ki koi nannhi pari hai
hari shaKHon pe jugnu chha gae hain
zamin par ya sitare aa gae hain
munawwar sare bagh aur ban hain in se
andheri Daliyan raushan hain in se
nahin aaram se sote magar ye
ki uDte phirte hain yun raat bhar ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.