jugnu
maiñ ḳhud raushnī huuñ
mujhe kyā ġharaz
chāñdnī ho na ho
chāñd nikle na nikle
añdherā agarche mirī rāhguzar hai
magar har qadam par
ujālā mirā ham-safar hai
siyah raat jab mere nazdīk aa.ī
to kahne lagī vo
tumheñ dekh kar
āsmāñ ke sitāre bhī apnī chamak bhuul baiThe
zamīñ par utar aa.e ye dekhne
kaun sī shai hai jo in añdheroñ meñ bhī
apnī nannhī sī jaañ ko jalā.e hue hai
falak ke sitāre qarīb aa.e to
mujh se kahne lage
kaun ho tum
bhalā kis liye
apnī nannhī sī jaañ ko liye
in añdheroñ meñ yuuñ
dar-ba-dar phir rahe ho
maiñ jugnū huuñ maiñ ne kahā
tum añdheroñ se Darte ho lekin
maiñ ḳhud raushnī huuñ
mujhe kyā ġharaz
chāñdnī ho na ho
chāñd nikle na nikle
añdherā agarche mirī rāhguzar hai
magar har qadam par
ujālā mirā ham-safar hai
main KHud raushni hun
mujhe kya gharaz
chandni ho na ho
chand nikle na nikle
andhera agarche meri rahguzar hai
magar har qadam par
ujala mera ham-safar hai
siyah raat jab mere nazdik aai
to kahne lagi wo
tumhein dekh kar
aasman ke sitare bhi apni chamak bhul baiThe
zamin par utar aae ye dekhne
kaun si shai hai jo in andheron mein bhi
apni nannhi si jaan ko jalae hue hai
falak ke sitare qarib aae to
mujh se kahne lage
kaun ho tum
bhala kis liye
apni nannhi si jaan ko liye
in andheron mein yun
dar-ba-dar phir rahe ho
main jugnu hun main ne kaha
tum andheron se Darte ho lekin
main KHud raushni hun
mujhe kya gharaz
chandni ho na ho
chand nikle na nikle
andhera agarche meri rahguzar hai
magar har qadam par
ujala mera ham-safar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.