jurm
khulī aañkh se dekh liye ḳhvāb paiñsaTh saal
aur ab maiñ jaag jaane ko kahūñ to jurm
ab maiñ chup rahūñ to gunāh kuchh kahūñ to jurm
sahūñ to apnī nazroñ se girā na sahūñ to jurm
khel siyāsat ke haiñ ye lāsheñ ye jaltī bastiyāñ
chup rahūñ to ġhaddār vatan kā sach kahūñ to jurm
farq kabhī ḳhatm nahīñ hogā mahal aur jhoñpaḌī kā
agar vo kaheñ to ġhazab taqrīr maiñ kahūñ to jurm
kah bhī de ki tū zinda laash hai insān nahīñ
phir tujhe hālāt se laḌne ko kahūñ to jurm
khuli aankh se dekh liye KHwab painsaTh sal
aur ab main jag jaane ko kahun to jurm
ab main chup rahun to gunah kuchh kahun to jurm
sahun to apni nazron se gira na sahun to jurm
khel siyasat ke hain ye lashen ye jalti bastiyan
chup rahun to ghaddar watan ka sach kahun to jurm
farq kabhi KHatm nahin hoga mahal aur jhonpaDi ka
agar wo kahen to ghazab taqrir main kahun to jurm
kah bhi de ki tu zinda lash hai insan nahin
phir tujhe haalat se laDne ko kahun to jurm
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.