jurm
tañg-o-tārīk sī koTharī meñ
moTī moTī salāḳhoñ ke pīchhe
ġhalīz se farsh par paḌā hai
vo ek qaidī
pareshāñ baal haiñ aur zard chehra
ho jaise haDDiyoñ kā ek Dhāñcha
paḌī haiñ beḌiyāñ paañv meñ us ke
hai jurm us kā apnā faqat is qadar
ki rah rah ke vo sochtā hai yahī
vo zindāñ meñ kis jurm par band hai
soche vo kyuuñ na āḳhir
us kī ragoñ meñ bhī to
dūsre āzād logoñ kī tarah
dauḌtā hai zindagī kā garm ḳhuun
tang-o-tarik si koThari mein
moTi moTi salaKHon ke pichhe
ghaliz se farsh par paDa hai
wo ek qaidi
pareshan baal hain aur zard chehra
ho jaise haDDiyon ka ek Dhancha
paDi hain beDiyan panw mein us ke
hai jurm us ka apna faqat is qadar
ki rah rah ke wo sochta hai yahi
wo zindan mein kis jurm par band hai
soche wo kyun na aaKHir
us ki ragon mein bhi to
dusre aazad logon ki tarah
dauDta hai zindagi ka garm KHun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.