justuju
vo māhtāb utar aa.e chhat pe koī shaam
mile mujhe bhī mohabbat bharā koī paiġhām
hazār baar umañgoñ ne mujh ko bahkāyā
hazār baar ḳhayāloñ ne mujh ko uksāyā
hazār baar tabī.at tirī taraf i
hazār baar akele meñ dil ko samjhāyā
magar ye sach hai ki har baar ho gayā nākām
mile mujhe bhī mohabbat bharā koī paiġhām
hazār baar mire dil kā phuul murjhāyā
hazār baar luTā mere dil kā sarmāya
hazār baar tire āstāñ pe dastak dī
hazār baar nafī meñ tirā javāb aayā
ab aur kitnā karūñ intizār-e-gul-andām
mile mujhe bhī mohabbat bharā koī paiġhām
hazār baar tirī aarzū meñ niklā huuñ
hazār baar tujhe dekhne ko Thahrā huuñ
hazār baar tirī raah kī uḌaa.ī dhuul
hazār baar nayā naam le ke lauTā huuñ
junūñ ne kaisā kiyā dekh le mujhe badnām
mile mujhe bhī mohabbat bharā koī paiġhām
hazār baar havāoñ meñ kuchh likhā maiñ ne
hazār baar kiyā pesh mudda.ā maiñ ne
hazār baar huī sa.ī-e-rā.egāñ mujh se
hazār baar ishāroñ se kuchh kahā maiñ ne
jo ibtidā ho zarūrī nahīñ vo ho anjām
mile mujhe bhī mohabbat bharā koī paiġhām
wo mahtab utar aae chhat pe koi sham
mile mujhe bhi mohabbat bhara koi paigham
hazar bar umangon ne mujh ko bahkaya
hazar bar KHayalon ne mujh ko uksaya
hazar bar tabiat teri taraf i
hazar bar akele mein dil ko samjhaya
magar ye sach hai ki har bar ho gaya nakaam
mile mujhe bhi mohabbat bhara koi paigham
hazar bar mere dil ka phul murjhaya
hazar bar luTa mere dil ka sarmaya
hazar bar tere aastan pe dastak di
hazar bar nafi mein tera jawab aaya
ab aur kitna karun intizar-e-gul-andam
mile mujhe bhi mohabbat bhara koi paigham
hazar bar teri aarzu mein nikla hun
hazar bar tujhe dekhne ko Thahra hun
hazar bar teri rah ki uDai dhul
hazar bar naya nam le ke lauTa hun
junun ne kaisa kiya dekh le mujhe badnam
mile mujhe bhi mohabbat bhara koi paigham
hazar bar hawaon mein kuchh likha main ne
hazar bar kiya pesh muddaa main ne
hazar bar hui sai-e-raegan mujh se
hazar bar ishaaron se kuchh kaha main ne
jo ibtida ho zaruri nahin wo ho anjam
mile mujhe bhi mohabbat bhara koi paigham
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 97)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.