juhi ka pauda
maiñ ik juuhī kā paudā huuñ
ye bhī mujh ko yaad nahīñ hai
maiñ is rāhguzar par kab se
bas yuuñ hī ḳhāmosh khaḌā huuñ
mujh se ye pūchhā na kisī ne
kaise ho kyā soch rahe ho
kyuuñ āḳhir ḳhāmosh khaḌe ho
jaise unhīñ kī tarah maiñ ḳhud bhī
is ābād hasīñ duniyā kī
vahdat kā hissa hī nahīñ huuñ
jaise maiñ zinda hī nahīñ huuñ
mere lafzoñ kī shāḳhoñ se
yādoñ kī kuchh kaliyāñ le leñ
mere rañg-birañge nāzuk
ḳhvāboñ kī pañkhuḌiyāñ le leñ
kyā merā anjām yahī hai
kyā bas merā kaam yahī hai
apne ḳhūn-e-dil se yūñhī
rāhoñ par maiñ phuul ḳhilā.uñ
aur jo chāhe luuT le mujh ko
maiñ ḳhāmosh rahūñ luT jā.ūñ
ruk kar koī ye bhī na pūchhe
kaise ho kyā soch rahe ho
kyuuñ āḳhir ḳhāmosh khaḌe ho
main ek juhi ka pauda hun
ye bhi mujh ko yaad nahin hai
main is rahguzar par kab se
bas yun hi KHamosh khaDa hun
mujh se ye puchha na kisi ne
kaise ho kya soch rahe ho
kyun aaKHir KHamosh khaDe ho
jaise unhin ki tarah main KHud bhi
is aabaad hasin duniya ki
wahdat ka hissa hi nahin hun
jaise main zinda hi nahin hun
mere lafzon ki shaKHon se
yaadon ki kuchh kaliyan le len
mere rang-birange nazuk
KHwabon ki pankhuDiyan le len
kya mera anjam yahi hai
kya bas mera kaam yahi hai
apne KHun-e-dil se yunhi
rahon par main phul KHilaun
aur jo chahe luT le mujh ko
main KHamosh rahun luT jaun
ruk kar koi ye bhi na puchhe
kaise ho kya soch rahe ho
kyun aaKHir KHamosh khaDe ho
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.