jyotishi din mahinon ka qissa suno
jyotishī din mahīnoñ kā qissa suno
jab gharoñ se nikaltī huī laḌkiyāñ apne ghar jā.eñgī
apne raste kī ho jā.eñgī
aur tahmīna-e-be-ḳhabar har galī kī ḳhabar
har galī ik na.e ghar pe jā kar uchaT jā.egī
ai merī ruuh ke bādbāñ
dukh khule pāniyoñ kā safar umr-bhar
jyotshī din mahīnoñ kā qissa suno
jyotishī roz har roz sūraj khule pāniyoñ se nikālā gayā
rose sūraj khule pāniyoñ meñ utārā gayā
jyotishī din mahīnoñ kī vahshat se āgāh maiñ
jyotishī is aziyyat se āgāh maiñ
jyotishī mere hone kā qissa suno
jyotishī saañp āñkhoñ ne dekhā to maiñ sau gayā
mor paañv ne dekhā to maiñ sau gayā
jyotishī mere sone kā qissa suno
jyotishī merī āñkhoñ meñ tahmīna-e-be-ḳhabar ke liye an-ginat ḳhvāb haiñ
ḳhvāb vahshat ke ādāb haiñ
sub.h sūraj kā farmān hai
aur sūraj khule pāniyoñ meñ utārā gayā
jyotishi din mahinon ka qissa suno
jab gharon se nikalti hui laDkiyan apne ghar jaengi
apne raste ki ho jaengi
aur tahmina-e-be-KHabar har gali ki KHabar
har gali ek nae ghar pe ja kar uchaT jaegi
ai meri ruh ke baadban
dukh khule paniyon ka safar umr-bhar
jyotshi din mahinon ka qissa suno
jyotishi roz har roz suraj khule paniyon se nikala gaya
rose suraj khule paniyon mein utara gaya
jyotishi din mahinon ki wahshat se aagah main
jyotishi is aziyyat se aagah main
jyotishi mere hone ka qissa suno
jyotishi sanp aankhon ne dekha to main sau gaya
mor panw ne dekha to main sau gaya
jyotishi mere sone ka qissa suno
jyotishi meri aankhon mein tahmina-e-be-KHabar ke liye an-ginat KHwab hain
KHwab wahshat ke aadab hain
subh suraj ka farman hai
aur suraj khule paniyon mein utara gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.