kabus
raat ke pahlū meñ
baiThā hai sunahrī azhdahā
ahmarīñ phunkār ke
maddham suroñ kā shor hai
is ghaḌī lagtā hai vo kuchh aur hai
band hote aur khulte dā.eroñ ke darmiyāñ
aap apnī zaat ke girdāb meñ
jaise koī devtā mehrāb meñ
vaqt ke is naqsha-e-mubham pe kaun
us ke maskan kā lagā.egā surāġh
kaun rakkhegā hathelī par charāġh
is ke nīsh-e-ārzū ke zā.iqe chakkhegā kaun
kis ko dildārī kī fursat hai yahāñ
haañ magar ye raat hai is kī rafīq
der tak apnā badan dasvā.egī
subah hone tak usī ke rañg meñ rañg jā.egī
raat ke pahlu mein
baiTha hai sunahri azhdaha
ahmarin phunkar ke
maddham suron ka shor hai
is ghaDi lagta hai wo kuchh aur hai
band hote aur khulte daeron ke darmiyan
aap apni zat ke girdab mein
jaise koi dewta mehrab mein
waqt ke is naqsha-e-mubham pe kaun
us ke maskan ka lagaega suragh
kaun rakkhega hatheli par charagh
is ke nish-e-arzu ke zaiqe chakkhega kaun
kis ko dildari ki fursat hai yahan
han magar ye raat hai is ki rafiq
der tak apna badan daswaegi
subah hone tak usi ke rang mein rang jaegi
- Book : Asaleeb (Pg. 248)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.