kaen kaen kawwa Ten Ten miTThu
ek Tahnī pe baiThe the miTThū miyāñ
aa gayā ek kavvā bhī uḌ kar vahāñ
aa.iye aa.iye shauq farmā.iye
mīThā amrūd hai aap bhī khā.iye
bolā kavvā ki ḳhāmosh Teñ Teñ na kar
varna maiñ phoḌ dūñgā abhī terā sar
bevaqūfoñ se maiñ baat kartā nahīñ
apne darje se nīche utartā nahīñ
kaun sā tū uqaab aur shāhīn hai
muñh lagānā tujhe merī tauhīn hai
bolīñ kavve ne jab aisī baḌ boliyāñ
to ġhusse meñ bole ye miTThū miyāñ
tū ne kyā tiir maare haiñ maiñ bhī sunūñ
terī chālākiyoñ par zarā sar dhunoñ
bolā kavvā ki o raTTū tote ye sun
merī dānish kā har shaḳhs gaatā hai gun
kar duuñ raushan abhī tere chaudah tabaq
yaad hai bachche bachche ko merā sabaq
ek din jab bahut saḳht pyāsā thā maiñ
ye samajh le ki bas adh-marā sā thā maiñ
ek maTke meñ paanī kī dekhī jhalak
choñch Daalī to pahuñchī na paanī talak
zehn ne kaam karnā shurūa kar diyā
maTkā kañkar se bharnā shurūa kar diyā
un kī ta.adād maTke meñ jab baḌh ga.ī
sat.h paanī kī uupar talak chaḌh ga.ī
maiñ ne paanī gaTā-gaT gaTā-gaT piyā
phir phudakte hue kaa.eñ kaa.eñ kiyā
dekh le kis qadar tez tarrār huuñ
kitnā chālāk huuñ kitnā hushyār huuñ
bole miTThū miyāñ maar kar qahqaha
be-vaqūfī kī bas ho ga.ī intihā
jaane maTke meñ paanī thā kab se paḌā
phir Dhaknā bhī nahīñ thā khulā thā ghaḌā
gande kañkar bhī bhartā gayā us meñ tū
pī gayā aise paanī ko phir aaḳh thū
aise paanī se lagtī haiñ bīmāriyāñ
pesh aatī haiñ kitnī hī dushvāriyāñ
ḳhud ko kahtā aql-mand-o-dānā hai tū
lekin afsos ahmaq kā naanā hai tū
tū agar gandī chīzeñ na khaa.e piye
log pāleñ tujhe tū maze se jiye
saaf hotā to ghar ghar bulāte tujhe
is tarah maar kar kyuuñ bhagāte tujhe
kavvā sunte hī ye baat rone lagā
apne par āñsuoñ se bhigone lagā
aur kahne lagā baat sach hai tirī
log karte haiñ nafrat shakl se mirī
kavvā ro ro ke jab aah bharne lagā
us pe miTThū ne ye tars khā kar kahā
chhoḌ de is takabbur baḌā.ī ko tū
apnī aadat banā le safā.ī kī tū
gañdā paanī na pī gandī chīzeñ na khā
un meñ hotā hai Derā jarāsīm kā
ye jarāsīm bīmār kar dete haiñ
achchhe ḳhāsoñ ko be-kār kar dete haiñ
yuuñ ba-zāhir thā kavvā bahut kā.iyāñ
us ko samjhā ke har baat miTThū miyāñ
uḌ ga.e apne par phaḌ.phaḌāte hue
miTThū beTe ke na.are lagāte hue
ek Tahni pe baiThe the miTThu miyan
aa gaya ek kawwa bhi uD kar wahan
aaiye aaiye shauq farmaiye
miTha amrud hai aap bhi khaiye
bola kawwa ki KHamosh Ten Ten na kar
warna main phoD dunga abhi tera sar
bewaqufon se main baat karta nahin
apne darje se niche utarta nahin
kaun sa tu uqab aur shahin hai
munh lagana tujhe meri tauhin hai
bolin kawwe ne jab aisi baD boliyan
to ghusse mein bole ye miTThu miyan
tu ne kya tir mare hain main bhi sunun
teri chaalakiyon par zara sar dhunon
bola kawwa ki o raTTu tote ye sun
meri danish ka har shaKHs gata hai gun
kar dun raushan abhi tere chaudah tabaq
yaad hai bachche bachche ko mera sabaq
ek din jab bahut saKHt pyasa tha main
ye samajh le ki bas adh-mara sa tha main
ek maTke mein pani ki dekhi jhalak
chonch Dali to pahunchi na pani talak
zehn ne kaam karna shurua kar diya
maTka kankar se bharna shurua kar diya
un ki tadad maTke mein jab baDh gai
sath pani ki upar talak chaDh gai
main ne pani gaTa-gaT gaTa-gaT piya
phir phudakte hue kaen kaen kiya
dekh le kis qadar tez tarrar hun
kitna chaalak hun kitna hushyar hun
bole miTThu miyan mar kar qahqaha
be-waqufi ki bas ho gai intiha
jaane maTke mein pani tha kab se paDa
phir Dhakna bhi nahin tha khula tha ghaDa
gande kankar bhi bharta gaya us mein tu
pi gaya aise pani ko phir aaKH thu
aise pani se lagti hain bimariyan
pesh aati hain kitni hi dushwariyan
KHud ko kahta aql-mand-o-dana hai tu
lekin afsos ahmaq ka nana hai tu
tu agar gandi chizen na khae piye
log palen tujhe tu maze se jiye
saf hota to ghar ghar bulate tujhe
is tarah mar kar kyun bhagate tujhe
kawwa sunte hi ye baat rone laga
apne par aansuon se bhigone laga
aur kahne laga baat sach hai teri
log karte hain nafrat shakl se meri
kawwa ro ro ke jab aah bharne laga
us pe miTThu ne ye tars kha kar kaha
chhoD de is takabbur baDai ko tu
apni aadat bana le safai ki tu
ganda pani na pi gandi chizen na kha
un mein hota hai Dera jarasim ka
ye jarasim bimar kar dete hain
achchhe KHason ko be-kar kar dete hain
yun ba-zahir tha kawwa bahut kaiyan
us ko samjha ke har baat miTThu miyan
uD gae apne par phaDphaDate hue
miTThu beTe ke nare lagate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.