kaenat-e-zat ka musafir
ā.īna raqs meñ hasrat kī shanāsā.ī kā
kitne chup-chāp ḳharāboñ meñ liye jaatā hai
har taraf nirḳh-zada chehroñ kī āvāzeñ haiñ
merī āvāz kahāñ thī merī āvāz kahāñ
madfan-e-vaqt se kab koī sadā aa.ī hai
ek lamha vahī lamha mirī tanhā.ī kā
zaḳhm par zaḳhm mire dil ko diye jaatā hai
phuul ke haath meñ hai raat ke mātam kā charāġh
kabhī bujhtā kabhī jaltā hai sulagtā hai kabhī
saañs se jism kā naata mirī rusvā.ī hai
ham-safar kaun huā lāla-e-sahrā.ī kā
parda-e-rāz-e-azal chaak kiye jaatā hai
sar hathelī pe sajā.e hue chalte rahnā
zinda rahne ke liye rasm rahegī kab tak
dard dariyā hai vahī dard kī gahrā.ī hai
aaina raqs mein hasrat ki shanasai ka
kitne chup-chap KHarabon mein liye jata hai
har taraf nirKH-zada chehron ki aawazen hain
meri aawaz kahan thi meri aawaz kahan
madfan-e-waqt se kab koi sada aai hai
ek lamha wahi lamha meri tanhai ka
zaKHm par zaKHm mere dil ko diye jata hai
phul ke hath mein hai raat ke matam ka charagh
kabhi bujhta kabhi jalta hai sulagta hai kabhi
sans se jism ka nata meri ruswai hai
ham-safar kaun hua lala-e-sahrai ka
parda-e-raaz-e-azal chaak kiye jata hai
sar hatheli pe sajae hue chalte rahna
zinda rahne ke liye rasm rahegi kab tak
dard dariya hai wahi dard ki gahrai hai
- Book : naquush (Pg. 269)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.