kaenat ek azim sadaqat hai
kā.enāt ek aziim sadāqat hai
sarāpā magar tah-dar-tah sadāqat
kā.enāt kī ye sadāqateñ
aadmī par ba-tadrīj zāhir hotī haiñ
ki aadmī sadāqat-e-kāmila ke idrāk kā ba-yak-vaqt mutahammil nahīñ
ek sadāqat ke baa'd dūsrī kā irfān pahlī ko bātil nahīñ kartā
din kā ujālā raat ke añdhere kā munkir nahīñ hai
patjhaḌ kī be-raunaqī aane vaale mausam kī shādābī kā muzhda hai
maut hamesha hī zindagī kī ham-safar rahī hai
kaash
ham is nukte ko samajh sakte
kaenat ek azim sadaqat hai
sarapa magar tah-dar-tah sadaqat
kaenat ki ye sadaqaten
aadmi par ba-tadrij zahir hoti hain
ki aadmi sadaqat-e-kaamila ke idrak ka ba-yak-waqt mutahammil nahin
ek sadaqat ke ba'd dusri ka irfan pahli ko baatil nahin karta
din ka ujala raat ke andhere ka munkir nahin hai
patjhaD ki be-raunaqi aane wale mausam ki shadabi ka muzhda hai
maut hamesha hi zindagi ki ham-safar rahi hai
kash
hum is nukte ko samajh sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.