kaenat
maiñ kitnī sadiyoñ se tak rahā huuñ
ye kā.enāt aur is kī vus.at
tamām hairat tamām hairat
ye kyā tamāshā ye kyā samāñ hai
ye kyā ayaañ hai ye kyā nihāñ hai
athāh sāġhar hai ik ḳhalā kā
na jaane kab se na jaane kab tak
kahāñ talak hai
hamārī nazroñ kī intihā hai
jise samajhte haiñ ham falak hai
ye raat kā chhalnī chhalnī sā kaalā āsmāñ hai
ki jis meñ jugnū kī shakl meñ
be-shumār sūraj pighal rahe haiñ
shahāb-e-sāqib hai
yā hamesha kī ThanDī kaalī fazāoñ meñ
jaise aag ke tiir chal rahe haiñ
karoḌ-hā nuurī barsoñ ke fāsloñ meñ phailī
ye kahkashā.eñ
ḳhalā ghere haiñ
yā ḳhalāoñ kī qaid meñ hai
ye kaun kis ko liye chalā hai
har ek lamha
karoḌoñ mīloñ kī jo masāfat hai
in ko āḳhir kahāñ hai jaanā
agar hai in kā kahīñ koī āḳhirī Thikānā
to vo kahāñ hai
jahāñ kahīñ hai
savāl ye hai
vahāñ se aage koī zamīñ hai
koī falak hai
agar nahīñ hai
to ye nahīñ kitnī duur tak hai
maiñ kitnī sadiyoñ se tak rahā huuñ
ye kā.enāt aur is kī vus.at
tamām hairat tamām hairat
sitāre jin kī safīr kirneñ
karoḌoñ barsoñ se raah meñ hai
zamīñ se milne kī chaah meñ hai
kabhī to aa ke kareñgī ye merī āñkheñ raushan
kabhī to aa.egī mere hāthoñ meñ raushnī kā ek aisā dāman
ki jis ko thāme maiñ jā ke dekhūñgā in ḳhalāoñ ke
phaile āñgan
kabhī to mujh ko ye kā.enāt apne raaz khul ke
sunā hī degī
ye apnā āġhāz apnā anjām
mujh ko ik din batā hī degī
agar koī vaa.iz apne mimbar se
naḳhvat-āmez lahze meñ ye kahe
ki tum to kabhī samajh hī nahīñ sakoge
ki is qadar hai ye baat gahrī
to koī pūchhe
jo maiñ na samjhā
to kaun samjhā.egā
aur jis ko kabhī na koī samajh sake
aisī baat to phir fuzūl Thahrī
main kitni sadiyon se tak raha hun
ye kaenat aur is ki wusat
tamam hairat tamam hairat
ye kya tamasha ye kya saman hai
ye kya ayan hai ye kya nihan hai
athah saghar hai ek KHala ka
na jaane kab se na jaane kab tak
kahan talak hai
hamari nazron ki intiha hai
jise samajhte hain hum falak hai
ye raat ka chhalni chhalni sa kala aasman hai
ki jis mein jugnu ki shakl mein
be-shumar suraj pighal rahe hain
shahab-e-saqib hai
ya hamesha ki ThanDi kali fazaon mein
jaise aag ke tir chal rahe hain
karoD-ha nuri barson ke faslon mein phaili
ye kahkashaen
KHala ghere hain
ya KHalaon ki qaid mein hai
ye kaun kis ko liye chala hai
har ek lamha
karoDon milon ki jo masafat hai
in ko aaKHir kahan hai jaana
agar hai in ka kahin koi aaKHiri Thikana
to wo kahan hai
jahan kahin hai
sawal ye hai
wahan se aage koi zamin hai
koi falak hai
agar nahin hai
to ye nahin kitni dur tak hai
main kitni sadiyon se tak raha hun
ye kaenat aur is ki wusat
tamam hairat tamam hairat
sitare jin ki safir kirnen
karoDon barson se rah mein hai
zamin se milne ki chah mein hai
kabhi to aa ke karengi ye meri aankhen raushan
kabhi to aaegi mere hathon mein raushni ka ek aisa daman
ki jis ko thame main ja ke dekhunga in KHalaon ke
phaile aangan
kabhi to mujh ko ye kaenat apne raaz khul ke
suna hi degi
ye apna aaghaz apna anjam
mujh ko ek din bata hi degi
agar koi waiz apne mimbar se
naKHwat-amez lahze mein ye kahe
ki tum to kabhi samajh hi nahin sakoge
ki is qadar hai ye baat gahri
to koi puchhe
jo main na samjha
to kaun samjhaega
aur jis ko kabhi na koi samajh sake
aisi baat to phir fuzul Thahri
- Book : Lava (Pg. 33)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Raj Kamal Parkashan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.