kaghaz ke phul
phuul kāġhaz ke haiñ ḳhushbū se bahut duur haiñ ye
merī maañ to unheñ be-kār chunā kartī hai
chāñdnī ho ki kaḌī dhuup kī garmī kuchh ho
merī ḳhātir tū kahāñ roz phirā kartī hai
mere malbūs mohabbat kā jo paivand bane
mujh ko us reshmī kapḌe kī zarūrat kyā hai
jo kabhī apnā kabhī ġhair kā bīmār bane
mujh ko us husn kī yalġhār se nisbat kyā hai
apne hī zauq-e-tabassum meñ giraftār-o-asīr
zard chehre pe mile ġhāza-e-gul-e-rañg kī dhuul
ġhair-mumkin hai na deñ terī nigāhoñ ko fareb
muskurāte hue lab aur ye hañste hue phuul
kyā baḌhā.eñge kabhī zīnat-e-dāmān-e-ḳhulūs
ḳhārzāroñ se ulajhnā jinheñ aatā hī na ho
jin se qaa.em na ho ḳhud apne hī jalvoñ kā vaqār
ā.īna le ke sañvarnā jinheñ aatā hī na ho
rāt-bhar jaltā rahe chāhiye mujh ko vo charāġh
phuul kāġhaz ke haiñ kuchh der meñ jal jā.eñge
tere hāthoñ ke tarāshe hue maj.hūl sanam
mere hāthoñ kī harārat se pighal jā.eñge
kyā milegā mujhe us gul ke tabassum se kabhī
jis ke chehre pe ho rañgīn sharārat kī lakīr
kyā milegā mujhe us haat kī zebā.ī se
jis pe chaḌhte hue sharmā.e hinā kī tahrīr
aise gulshan meñ kahāñ rāt-kī-rānī mahke
jis ke har goshe se katrā ke guzartī ho bahār
qāfila apnī umīdoñ kā kahāñ par Thahre
duur tak chhāyā ho jab gardish-e-daurāñ kā ġhubār
dil meñ ik vaqt-e-tarab-nāk kā armān liye
ḳhud ko yuuñ vaqf-e-ġham-o-gardish-e-hālāt na kar
jin kā da.avā hai ki haiñ tere muqaddar ke ḳhudā
merī ḳhātir to kabhī un se koī baat na kar
phuul kāġhaz ke haiñ ḳhushbū se bahut duur haiñ ye
merī maañ tū unheñ be-kār chunā kartī hai
chāñdnī ho ki kaḌī dhuup kī garmī chakkho
merī ḳhātir tū kahāñ roz phirā kartī hai
phul kaghaz ke hain KHushbu se bahut dur hain ye
meri man to unhen be-kar chuna karti hai
chandni ho ki kaDi dhup ki garmi kuchh ho
meri KHatir tu kahan roz phira karti hai
mere malbus mohabbat ka jo paiwand bane
mujh ko us reshmi kapDe ki zarurat kya hai
jo kabhi apna kabhi ghair ka bimar bane
mujh ko us husn ki yalghaar se nisbat kya hai
apne hi zauq-e-tabassum mein giraftar-o-asir
zard chehre pe mile ghaza-e-gul-e-rang ki dhul
ghair-mumkin hai na den teri nigahon ko fareb
muskuraate hue lab aur ye hanste hue phul
kya baDhaenge kabhi zinat-e-daman-e-KHulus
KHarzaron se ulajhna jinhen aata hi na ho
jin se qaem na ho KHud apne hi jalwon ka waqar
aaina le ke sanwarna jinhen aata hi na ho
raat-bhar jalta rahe chahiye mujh ko wo charagh
phul kaghaz ke hain kuchh der mein jal jaenge
tere hathon ke tarashe hue majhul sanam
mere hathon ki hararat se pighal jaenge
kya milega mujhe us gul ke tabassum se kabhi
jis ke chehre pe ho rangin shararat ki lakir
kya milega mujhe us hat ki zebai se
jis pe chaDhte hue sharmae hina ki tahrir
aise gulshan mein kahan raat-ki-rani mahke
jis ke har goshe se katra ke guzarti ho bahaar
qafila apni umidon ka kahan par Thahre
dur tak chhaya ho jab gardish-e-dauran ka ghubar
dil mein ek waqt-e-tarab-nak ka arman liye
KHud ko yun waqf-e-gham-o-gardish-e-haalat na kar
jin ka dawa hai ki hain tere muqaddar ke KHuda
meri KHatir to kabhi un se koi baat na kar
phul kaghaz ke hain KHushbu se bahut dur hain ye
meri man tu unhen be-kar chuna karti hai
chandni ho ki kaDi dhup ki garmi chakkho
meri KHatir tu kahan roz phira karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.