Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaghaz ki naw

Hamidullah Afsar

kaghaz ki naw

Hamidullah Afsar

MORE BYHamidullah Afsar

    dekho ammāñ kaisī achchhī hai mirī kāġhaz naav

    le chalā hai saath us ko meñh ke paanī bahāv

    band kar detā na maiñ sab mohriyoñ ke muñh agar

    kis tarah paanī se bhar jaatā bhalā phir saarā ghar

    merī kashtī tum zarā dekho to ik chakkar meñ hai

    go ki dariyā meñ hai lekin phir bhī ghar ke ghar meñ hai

    machhliyāñ is vāste āñgan ke dariyā meñ nahīñ

    Dar ke merī naav se saarī saarī chhup ga.iiñ

    achchhī ammāñ ab mujhe dariyā meñ jaane do zarā

    apnī kashtī ko mujhe ḳhud chalāne do zarā

    jā.ūñgā maiñ jab kashtī sambhāle dekhnā

    tum kahogī mere nanhe naav vaale dekhnā

    maiñ kahūñgā merī ammāñ kis tarah dekhūñ udhar

    kyā karūñgā naav raste se bhaTak jaa.e agar

    dhyān baT jaa.e to kashtī Duub jā.egī zarūr

    baiTh kar kis chiiz meñ phir jā.ūñgī maiñ duur duur

    achchhī ammāñ ab mujhe dariyā meñ jaane do zarā

    apnī kashtī ko mujhe ḳhud chalāne do zarā

    dekh lenā tum ki is dariyā meñ Dūbūñgā na maiñ

    achchhī ammāñ der tak paanī meñ khelūñgā na maiñ

    dekho amman kaisi achchhi hai meri kaghaz ki naw

    le chala hai sath us ko meinh ke pani ka bahaw

    band kar deta na main sab mohriyon ke munh agar

    kis tarah pani se bhar jata bhala phir sara ghar

    meri kashti tum zara dekho to ek chakkar mein hai

    go ki dariya mein hai lekin phir bhi ghar ke ghar mein hai

    machhliyan is waste aangan ke dariya mein nahin

    Dar ke meri naw se sari ki sari chhup gain

    achchhi amman ab mujhe dariya mein jaane do zara

    apni kashti ko mujhe KHud hi chalane do zara

    jaunga main jab kashti sambhaale dekhna

    tum kahogi mere nanhe naw wale dekhna

    main kahunga meri amman kis tarah dekhun udhar

    kya karunga naw raste se bhaTak jae agar

    dhyan baT jae to kashti Dub jaegi zarur

    baiTh kar kis chiz mein phir jaungi main dur dur

    achchhi amman ab mujhe dariya mein jaane do zara

    apni kashti ko mujhe KHud hi chalane do zara

    dekh lena tum ki is dariya mein Dubunga na main

    achchhi amman der tak pani mein khelunga na main

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now