kaghzi hai pairahan
Interesting Fact
(15 August, 1980)
ye be-nūr andhī siyāsat kā bāzār hai
maslahat kī dukāñ hai
shanāsā yahāñ ajnabī haiñ
masarrat ke lamhe bhī be-jān haiñ
jism-o-jāñ kī haqīqat nahīñ haiñ
riyā-kār sochoñ ke
jāmid hisāroñ meñ lipTī huī
sar-zamīn kah rahī hai
ki ye mahfil-e-tañg-dāmāñ hai
saaqī kā e.ajāz
mutrib kī āvāz
aur nāra-e-sarmadī kuchh nahīñ hai yahāñ
to bas
zauq-e-hastī kā
bedārī-e-ārzū kā asāsa sameTo
unhīñ be-navā.ī ke ġhāroñ meñ kho jaao jā kar
jahāñ kone kone meñ
har kunj meñ har-qadam par
sukūt-e-mukammal kā aaseb hai
shor-o-ġhauġhā kā jañgal hai
aur gulshan-e-nutq be-barg-o-bār-o-samar hai
ki is mahbas-e-fikr meñ ḳhayāloñ kī mahshar-ḳhirāmī
añdheroñ ujāloñ kī takrār-e-paiham nahīñ hai
isī kunj-e-be-gāñgī meñ chhupā lo dil-o-jāñ
jahāñ sahar-ḳhez bedār rūheñ
kabhī nashsha-e-mai se sarshār thiiñ jo
ḳhumār-e-tamannā gañvā kar
subuk-narm-ḳhvāboñ se dāman bachā kar
kār-gāh-e-hunar se nigāheñ churā kar
zamāne ke naqsh-e-qadam dekhte dekhte
so ga.ī haiñ
ki vo bār-e-hurriyat dīn-o-dil se
subuk-bār sī ho ga.ī haiñ
agar jān-o-dil phir bhī
be-dārī-e-ārzū
fitna-sāzī-e-haq-bīnī-o-garm-raftārī-e-justajū par musir huuñ
to dīvār-e-mahbas ke rauzan ko āñkheñ banā lo
nigāheñ ufuq par jamā lo
ye be-nur andhi siyasat ka bazar hai
maslahat ki dukan hai
shanasa yahan ajnabi hain
masarrat ke lamhe bhi be-jaan hain
jism-o-jaan ki haqiqat nahin hain
riya-kar sochon ke
jamid hisaron mein lipTi hui
sar-zamin kah rahi hai
ki ye mahfil-e-tang-daman hai
saqi ka eajaz
mutrib ki aawaz
aur nara-e-sarmadi kuchh nahin hai yahan
to bas
zauq-e-hasti ka
bedari-e-arzu ka asasa sameTo
unhin be-nawai ke ghaaron mein kho jao ja kar
jahan kone kone mein
har kunj mein har-qadam par
sukut-e-mukammal ka aaseb hai
shor-o-ghaugha ka jangal hai
aur gulshan-e-nutq be-barg-o-bar-o-samar hai
ki is mahbas-e-fikr mein KHayalon ki mahshar-KHirami
andheron ujalon ki takrar-e-paiham nahin hai
isi kunj-e-be-gangi mein chhupa lo dil-o-jaan
jahan sahar-KHez bedar ruhen
kabhi nashsha-e-mai se sarshaar thin jo
KHumar-e-tamanna ganwa kar
subuk-narm-KHwabon se daman bacha kar
kar-gah-e-hunar se nigahen chura kar
zamane ke naqsh-e-qadam dekhte dekhte
so gai hain
ki wo bar-e-hurriyat din-o-dil se
subuk-bar si ho gai hain
agar jaan-o-dil phir bhi
be-dari-e-arzu
fitna-sazi-e-haq-bini-o-garm-raftari-e-justaju par musir hun
to diwar-e-mahbas ke rauzan ko aankhen bana lo
nigahen ufuq par jama lo
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 38)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.