kahili
sar-e-rah peḌ jāmun kā khaḌā hai
baḌā chhitnār hai saaya ghanā hai
thake haare musāfir us ke nīche
koī leTā koī baiThā huā hai
maiñ guzrā jab udhar se to ye dekhā
ki us ke nīche ik majma' lagā hai
musāfir kuchh ziyāda aa ga.e haiñ
koī kuchh aur koī kuchh boltā hai
yakāyak ek jhoñke se havā ke
pakā jāmun zamīñ par gir rahā hai
vo kaalī kaalī pakkī pakkī jāmun
jo dekhā sab kā man lalchā rahā hai
uThā kar us ko khāne lag ga.e sab
maza khāne kā bhī aane lagā hai
vahīñ ik shaḳhs bolā dūsre se
ki jāmun khāne ko jī chāhtā hai
mire muñh meñ bhī Daalo ek jāmun
mirā jī is ko chakhnā chāhtā hai
javāban dūsrā bolā musāfir
are tū bāvlā sā ho rahā hai
tujhe jāmun uThā kar maiñ ḳhilā.uñ
uThā le ḳhud qabāhat is meñ kyā hai
sunī maiñ ne jo un donoñ kī bāteñ
mirā dil ḳhuuñ ke aañsū ro paḌā hai
haiñ duniyā meñ kuchh aise log maujūd
ki jin se bojh dhartī kā baḌhā hai
jo ḳhud apnā bhalā bhī kar na paa.e
huā kab us se ġhairoñ kā bhalā hai
vo kyā pahuñchā.egā logoñ ko rāhat
jo apnī raah kā roḌā banā hai
sar-e-rah peD jamun ka khaDa hai
baDa chhitnar hai saya ghana hai
thake haare musafir us ke niche
koi leTa koi baiTha hua hai
main guzra jab udhar se to ye dekha
ki us ke niche ek majma' laga hai
musafir kuchh ziyaada aa gae hain
koi kuchh aur koi kuchh bolta hai
yakayak ek jhonke se hawa ke
paka jamun zamin par gir raha hai
wo kali kali pakki pakki jamun
jo dekha sab ka man lalcha raha hai
uTha kar us ko khane lag gae sab
maza khane ka bhi aane laga hai
wahin ek shaKHs bola dusre se
ki jamun khane ko ji chahta hai
mere munh mein bhi Dalo ek jamun
mera ji is ko chakhna chahta hai
jawaban dusra bola musafir
are tu bawla sa ho raha hai
tujhe jamun uTha kar main KHilaun
uTha le KHud qabahat is mein kya hai
suni main ne jo un donon ki baaten
mera dil KHun ke aansu ro paDa hai
hain duniya mein kuchh aise log maujud
ki jin se bojh dharti ka baDha hai
jo KHud apna bhala bhi kar na pae
hua kab us se ghairon ka bhala hai
wo kya pahunchaega logon ko rahat
jo apni rah ka roDa bana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.