kai-bhare gumbad ka nauha
kaash na hotā to achchhā thā
aisā bhī hotā hai jag meñ
rab ke ham-sā.e kī aise
rab ke pujārī jaañ lete haiñ
din baḌā ġhamgīñ sā thā vo
sūraj bhī royā thā pahroñ
sadiyoñ kī vo raat ajab thī
jaise rūheñ chīḳh rahī huuñ
sub.h kī chanchal havā jo aa.ī
jaane kis ko DhūñD rahī thī
baulā.ī baulā.ī sī
phuul parinde sab gum-sum the
peḌoñ ke patte tak sākit
fasloñ kī bālīñ bhī chup thiiñ
saryū kī āñkhoñ ke aañsū
jaane kyuuñ na thamte the
naarī bālak piir faqīr
giyānī aur updeshak bhī
sab hairāñ the sahme the sab
dubidhā meñ thā har koī
kaise kis ko muñh dikhlā.e
mard-e-muqaddas lauh-purush
tiir dhanush jab le kar lauTā
TuuT chukā ho ḳhud vo jaise
sharminda afsurda thā
zālim ko parāje karne vaalā
ismat-e-sītā kā rakhvālā
apnā sab kuchh tyāgne vaalā
raaj dharm kā rakshak ḳhud hī
ḳhud apnī nagrī ke andar
bebas aur ranjīda thā
kyuuñ ki ḳhud is ke apnoñ ne
us kī hī nagrī meñ aa kar
us kā hī dil toḌ diyā thā
aaj bhī jab vo din aatā hai
sūraj chandā din aur raat
phuul parinde khet kī fasleñ
bālak giyānī piir faqīr
sab gum-sum ho jaate haiñ
sūraj saryū siitā mil kar
pahroñ niir bahāte haiñ
ki rāj-dharm ke rakshak kā dil
phir se toḌā jaatā hai
kash na hota to achchha tha
aisa bhi hota hai jag mein
rab ke ham-sae ki aise
rab ke pujari jaan lete hain
din baDa ghamgin sa tha wo
suraj bhi roya tha pahron
sadiyon ki wo raat ajab thi
jaise ruhen chiKH rahi hun
subh ki chanchal hawa jo aai
jaane kis ko DhunD rahi thi
baulai baulai si
phul parinde sab gum-sum the
peDon ke patte tak sakit
faslon ki baalin bhi chup thin
saryu ki aankhon ke aansu
jaane kyun na thamte the
nari baalak pir faqir
giyani aur updeshak bhi
sab hairan the sahme the sab
dubidha mein tha har koi
kaise kis ko munh dikhlae
mard-e-muqaddas lauh-purush
tir dhanush jab le kar lauTa
TuT chuka ho KHud wo jaise
sharminda afsurda tha
zalim ko paraje karne wala
ismat-e-sita ka rakhwala
apna sab kuchh tyagne wala
raj dharm ka rakshak KHud hi
KHud apni nagri ke andar
bebas aur ranjida tha
kyun ki KHud is ke apnon ne
us ki hi nagri mein aa kar
us ka hi dil toD diya tha
aaj bhi jab wo din aata hai
suraj chanda din aur raat
phul parinde khet ki faslen
baalak giyani pir faqir
sab gum-sum ho jate hain
suraj saryu sita mil kar
pahron nir bahate hain
ki raj-dharm ke rakshak ka dil
phir se toDa jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.